kaise bayan karun main kisi gul-badan ka rang
kaise bayāñ karūñ maiñ kisī gul-badan kā rang
phīkā hai us ke sāmne zāġh-o-zaġhan kā rang
saare asātiza se churāo suḳhan kā rang
gar kuchh nikhārnā ho tumheñ apne fan kā rang
aate hī saare log chikan par aḌī paḌe
Table pe dekh paayā na maiñ ne chikan kā rang
apnā lahū bhī shāmil-e-fasl-e-bahār hai
yuuñ surḳh ho rahā hai hamāre chaman kā rang
mafhūm aur hotā hai ash'ār kā vahāñ
jiddat kī shā'irī meñ judā hai suḳhan kā rang
paḌ jaa.e rang meñ na kahīñ bhang baar meñ
ham ko to hai pasand faqat taaḌ ban kā rang
is meñ salīqa ghar kā nazar kyuuñ na aa.egā
hai muḳhtalif jo shirt se mere button kā rang
qaa.il haiñ zā.iqe ke ġharaz kyā hai rang se
dastar pe dekhte hī nahīñ ham mutton kā rang
hañste hue ġhamoñ ko chhupānā hai ai rahīm
dekhā nahīñ kisī ne bhī ranj-o-mehan kā rañg
kaise bayan karun main kisi gul-badan ka rang
phika hai us ke samne zagh-o-zaghan ka rang
sare asatiza se churao suKHan ka rang
gar kuchh nikhaarna ho tumhein apne fan ka rang
aate hi sare log chikan par aDi paDe
Table pe dekh paya na main ne chikan ka rang
apna lahu bhi shamil-e-fasl-e-bahaar hai
yun surKH ho raha hai hamare chaman ka rang
mafhum aur hota hai ash'ar ka wahan
jiddat ki sha'iri mein juda hai suKHan ka rang
paD jae rang mein na kahin bhang bar mein
hum ko to hai pasand faqat taD ban ka rang
is mein saliqa ghar ka nazar kyun na aaega
hai muKHtalif jo shirt se mere button ka rang
qail hain zaiqe ke gharaz kya hai rang se
dastar pe dekhte hi nahin hum mutton ka rang
hanste hue ghamon ko chhupana hai ai rahim
dekha nahin kisi ne bhi ranj-o-mehan ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.