kaise ye be-e.atidālī jā.egī
kab tumhāre muñh se gaalī jā.egī
shaiḳh-jī rindoñ meñ jis din phañs ga.e
un kī dāḌhī noch Daalī jā.egī
sañkhyā khānā to mushkil hai magar
aap kahte haiñ to khā lī jā.egī
sunte haiñ mahshar meñ hogī itnī bhiiḌ
sar hī sar pheñko to thālī jā.egī
vo ye kahte haiñ maroge gar javāñ
zahmat-e-pīrāna-sālī jā.egī
kaise ye be-eatidali jaegi
kab tumhaare munh se gali jaegi
shaiKH-ji rindon mein jis din phans gae
un ki daDhi noch Dali jaegi
sankhya khana to mushkil hai magar
aap kahte hain to kha li jaegi
sunte hain mahshar mein hogi itni bhiD
sar hi sar phenko to thaali jaegi
wo ye kahte hain maroge gar jawan
zahmat-e-pirana-sali jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.