karachi ka qabristan
ai karāchī mulk-e-pakistan ke shahr-e-hasīñ
marne vāloñ ko jahāñ miltī nahīñ do gaz zamīñ
qabr kā milnā hī hai avval to ik TeḌhā savāl
aur agar mil jaa.e is par daḳhl milnā hai muhāl
hai yahī sūrat to ik aisā bhī din aa jā.egā
aane vaalā daur murdoñ par musībat Dhā.egā
mard maañ bisyār hoñge aur jā-e-qabr tañg
qabr kī taqsīm par murdoñ meñ chhiḌ jā.egī jañg
siit qabristān meñ pahle vo murde pā.eñge
jo kisī murda minister kī sifārish lā.eñge
corporation karegā ik resolution ye paas
ke d ai ab marne vāloñ se kare ye iltimās
aap ko marnā hai to pahle se notice dījiye
ya.anī jurm-e-intiqāl-e-nā-gahāñ mat kījiye
kuchh mahīne ke liye ho jā.egī turbat allot
is ke ba.ad aa.egā notice chhoḌ diije ye plot
turbat-e-shauhar meñ us kī ahliya so jā.egī
mahv-e-hairat huuñ ki turbat kyā se kyā ho jā.egī
ek hī tābūt hogā aur murde aaTh das
aap ise tābūt kahiye yā private bas
ek hī turbat meñ so jā.eñge mahmūd o ayaaz
duur ho jā.egā farq-e-banda-o-banda-navāz
shā.er-e-marhūm jab zer-e-mazār aa jā.egā
dūsre murdoñ ko haibat se buḳhār aa jā.egā
us se ye keh kar kareñge aur murde ehtijāj
ham ko hotā hai tumhārī shā.erī se iḳhtilāj
ḳhāmushī shahr-e-ḳhamoshāñ meñ hai dastūr-e-azal
tum yahāñ bhī chheḌ doge ġhair-matbūa ġhazal
ham kaheñge so raho ārām karnā farz hai
tum kahoge ho chukā ārām matl.a arz hai
surḳhiyāñ ye hoñgī ''jañg'' o ''hurriyat'' meñ ''don'' meñ
Daal lī haiñ jhuggiyāñ murdoñ ne qabristān meñ
raat do murdoñ ne hañgāma kiyā zer-e-mazār
ek murda jail meñ hai dūsrā murda farār
ek murda bhaag uThā thā chhoḌ kar gor-o-kafan
qabr par marhūm kī hai qabza-e-custodian
bartarī jaatī rahī hifz-e-marātib miT gayā
ek murda ik police vaale ke hāthoñ piT gayā
raat ik turbat pe do murdoñ meñ saudā paT gayā
ek murda pāñch sau pagḌī ke le kar haT gayā
ham to samjhe the hameñ haiñ is jahāñ meñ be-qarār
is jahāñ vāloñ ko bhī miltī nahīñ rāh-e-farār
sirf zindoñ hī ko fikr-e-aish-o-āsā.ish nahīñ
ab to is duniyā meñ murdoñ kī bhī gunjā.ish nahīñ
ai karachi mulk-e-pakistan ke shahr-e-hasin
marne walon ko jahan milti nahin do gaz zamin
qabr ka milna hi hai awwal to ek TeDha sawal
aur agar mil jae is par daKHl milna hai muhaal
hai yahi surat to ek aisa bhi din aa jaega
aane wala daur murdon par musibat Dhaega
mard man bisyar honge aur ja-e-qabr tang
qabr ki taqsim par murdon mein chhiD jaegi jang
sit qabristan mein pahle wo murde paenge
jo kisi murda minister ki sifarish laenge
corporation karega ek resolution ye pas
ke d ai ab marne walon se kare ye iltimas
aap ko marna hai to pahle se notice dijiye
yani jurm-e-intiqal-e-na-gahan mat kijiye
kuchh mahine ke liye ho jaegi turbat allot
is ke baad aaega notice chhoD dije ye plot
turbat-e-shauhar mein us ki ahliya so jaegi
mahw-e-hairat hun ki turbat kya se kya ho jaegi
ek hi tabut hoga aur murde aaTh das
aap ise tabut kahiye ya priwate bas
ek hi turbat mein so jaenge mahmud o ayaz
dur ho jaega farq-e-banda-o-banda-nawaz
shaer-e-marhum jab zer-e-mazar aa jaega
dusre murdon ko haibat se buKHar aa jaega
us se ye keh kar karenge aur murde ehtijaj
hum ko hota hai tumhaari shaeri se iKHtilaj
KHamushi shahr-e-KHamoshan mein hai dastur-e-azal
tum yahan bhi chheD doge ghair-matbua ghazal
hum kahenge so raho aaram karna farz hai
tum kahoge ho chuka aaram matla arz hai
surKHiyan ye hongi jang o hurriyat mein don mein
Dal li hain jhuggiyan murdon ne qabristan mein
raat do murdon ne hangama kiya zer-e-mazar
ek murda jail mein hai dusra murda farar
ek murda bhag uTha tha chhoD kar gor-o-kafan
qabr par marhum ki hai qabza-e-custodian
bartari jati rahi hifz-e-maraatib miT gaya
ek murda ek police wale ke hathon piT gaya
raat ek turbat pe do murdon mein sauda paT gaya
ek murda panch sau pagDi ke le kar haT gaya
hum to samjhe the hamein hain is jahan mein be-qarar
is jahan walon ko bhi milti nahin rah-e-farar
sirf zindon hi ko fikr-e-aish-o-asaish nahin
ab to is duniya mein murdon ki bhi gunjaish nahin
- Book : Kulliyat Dilawar Figar (Pg. 84)
- Author : Dilawar Figar
- Publication : Farid book Depot (pvt.) Ltd. (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.