karachi ki bus
bus meñ laTak rahā thā koī haar kī tarah
koī paḌā thā sāya-e-dīvār kī tarah
sahmā huā thā koī gunāhgār kī tarah
koī phañsā thā murġh-e-giraftār kī tarah
mahrūm ho gayā thā koī ek paañv se
juutā badal gayā thā kisī kā khaḌā.ūñ se
koī pukārtā thā mirī jeb kaT ga.ī
kahtā thā koī merī na.ī painT phaT ga.ī
bus meñ tamām pardoñ kī dīvār haT ga.ī
rīsh-e-safed zulf-e-siyah se lipaT ga.ī
ek achchhā-ḳhāsā mard zanāne meñ ghus paḌā
goyā ki ek chor ḳhazāne meñ ghus paḌā
ladies kī safoñ meñ jo chehre the kuchh hasīn
un par nazar jamā.e hue the miyāñ-matīn
shāmil musāfiroñ meñ the har fan ke māherīn
kuchh un meñ nāzirīn the baaqī tamāsh-bēn
zauq-e-nazar kī shart thī manzar burā na thā
das paise ke ticket meñ ye picture burā na thā
gaaḌī meñ ek shor thā conductor aage chal
kah de ḳhudā ke vāste haañ Thiik hai double
kab tak khaḌā rahegā sar-e-jāda-e-amal
laḌne kī aarzū hai to bāhar zarā nikal
tujh par ḳhudā kī maar ho start kar de bus
do paise aur le le jo daulat kī hai havas
conductor ab ye kahtā thā vo bus chalā.e kyuuñ
jo bus meñ aa gayā hai kare haa.e haa.e kyuuñ
jis ko ho jaañ aziiz mirī bus meñ aa.e kyuuñ
aaise hī gul-badan the to paise bachā.e kyuuñ
Thānī hai dil meñ ab na dabeñge kisī se ham
tañg aa ga.e haiñ roz kī conductorī se ham
kahtā thā vo kisī se bhī kam-tar nahīñ huuñ maiñ
ya.anī kisī ke baap kā naukar nahīñ huuñ maiñ
public se kyuuñ Darūñ koī leader nahīñ huuñ maiñ
kyuuñ regular chalūñ mah o aḳhtar nahīñ huuñ maiñ
bus meñ khaḌe raho jo mire ḳhair-ḳhvāh ho
dekho mujhe jo duur se ibrat-nigāh ho
ye bus jo vāqa.ī thī ka.ī saal se aliil
mushkil se ek ghanTe meñ chaltī thī chaar miil
mālik ne bhī ye soch ke de dī thī is ko Dhiil
ab is kī zindagī ke haiñ lamhe bahut qalīl
ab to kisī clerk se āchānak ye jā mile
kuchh biima company se hameñ bhī silā mile
mumkin na thā ki bus se hamārā mile mizāj
jamhūriyat hai ham ko pasand aur ise nirāj
mushkil to ye hai bus kā muāvin hai kul samāj
aaise meñ kyā buland ho āvāz-e-ehtijāj
ghabrā ke ham to art kī duniyā meñ kho ga.e
jab tak maler aayā ka.ī sher ho ga.e
bus mein laTak raha tha koi haar ki tarah
koi paDa tha saya-e-diwar ki tarah
sahma hua tha koi gunahgar ki tarah
koi phansa tha murgh-e-giraftar ki tarah
mahrum ho gaya tha koi ek panw se
juta badal gaya tha kisi ka khaDaun se
koi pukarta tha meri jeb kaT gai
kahta tha koi meri nai painT phaT gai
bus mein tamam pardon ki diwar haT gai
rish-e-safed zulf-e-siyah se lipaT gai
ek achchha-KHasa mard zanane mein ghus paDa
goya ki ek chor KHazane mein ghus paDa
ladies ki safon mein jo chehre the kuchh hasin
un par nazar jamae hue the miyan-matin
shamil musafiron mein the har fan ke maherin
kuchh un mein nazirin the baqi tamash-been
zauq-e-nazar ki shart thi manzar bura na tha
das paise ke ticket mein ye picture bura na tha
gaDi mein ek shor tha conductor aage chal
kah de KHuda ke waste han Thik hai double
kab tak khaDa rahega sar-e-jada-e-amal
laDne ki aarzu hai to bahar zara nikal
tujh par KHuda ki mar ho start kar de bus
do paise aur le le jo daulat ki hai hawas
conductor ab ye kahta tha wo bus chalae kyun
jo bus mein aa gaya hai kare hae hae kyun
jis ko ho jaan aziz meri bus mein aae kyun
aaise hi gul-badan the to paise bachae kyun
Thani hai dil mein ab na dabenge kisi se hum
tang aa gae hain roz ki conductori se hum
kahta tha wo kisi se bhi kam-tar nahin hun main
yani kisi ke bap ka naukar nahin hun main
public se kyun Darun koi leader nahin hun main
kyun regular chalun mah o aKHtar nahin hun main
bus mein khaDe raho jo mere KHair-KHwah ho
dekho mujhe jo dur se ibrat-nigah ho
ye bus jo waqai thi kai sal se alil
mushkil se ek ghanTe mein chalti thi chaar mil
malik ne bhi ye soch ke de di thi is ko Dhil
ab is ki zindagi ke hain lamhe bahut qalil
ab to kisi clerk se aachanak ye ja mile
kuchh bima company se hamein bhi sila mile
mumkin na tha ki bus se hamara mile mizaj
jamhuriyat hai hum ko pasand aur ise niraj
mushkil to ye hai bus ka muawin hai kul samaj
aaise mein kya buland ho aawaz-e-ehtijaj
ghabra ke hum to art ki duniya mein kho gae
jab tak maler aaya kai sher ho gae
- Book : Kulliyat Dilawar Figar (Pg. 235)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.