karachi ke machchhar
ai karachi terī raunaq aur shahroñ meñ kahāñ
machchharoñ kī bainal-aqvāmī numā.ish hai yahāñ
kis qadar ābād haiñ terī navāhī bastiyāñ
in meñ machchhar mehmāñ haiñ aur machchhar mezbāñ
machchharoñ kā shahr hai hifzān-e-sehhat kā nizām
kar rahā hai puurī puurī tandahī se apnā kaam
aur shahroñ ke bhī machchhar haiñ karachi meñ muqīm
kyūñki ab chaltī nahīñ is shahr meñ bahrī nasīm
kar diyā kartā thā paspā machchharoñ ko ye ġhanīm
tark kar dī hai havāoñ ne bhī ab rasm-e-qadīm
machchharoñ ne bāñdh rakkhī hai karachi meñ havā
in ke uupar kārgar hotī nahīñ koī davā
ai karachi ġhair mulkoñ se jo machchhar aa.e haiñ
kaise kaise tū ne un ke daad re sunvā.e haiñ
raat ko sote meñ vo kānoñ pe jab mañDlā.e haiñ
apne hī hāthoñ se thappaḌ apne muñh par khaa.e haiñ
un ko rishvat bhī agar de deñ na baaz ā.eñge vo
kaaT kar chupke se tārīkī meñ uḌ jā.eñge vo
chhoTe machchhar moTe machchhar aur baḌe haiñ aur khare
shahr ke bāzār aur ghar machchharoñ se haiñ bhare
raat din mañDlā rahe haiñ un kī faujoñ ke pare
kaan par gaate haiñ Takrā kar ye baijū bāvare
machchharoñ ko ai karachi tū ne baḳhshā hai vo chain
ḳhud ko har machchhar samajhtā hai vahī hai tansen
ho chukā hai machchharoñ par ḳhūn-e-insānī halāl
kaun un ko maar saktā hai kisī kī kyā majāl
machchharoñ kī parvarish kā ḳhaas rakhte haiñ ḳhayāl
aadmī kī jaan bach jaa.e nahīñ is kā savāl
aadmī apnī hifāzat ke agar qābil nahīñ
machchharoñ kā ḳhuun sar lene se kuchh hāsil nahīñ
niklo machchhar-dāniyāñ bāñdhe hue jab ghar se jaao
zaḳhmī ho jaa.e badan itnā ziyāda mat khujāo
jab koī machchhar tumheñ kaaTe to us kā dil baḌhāo
balki taalī bhī bajāo saath us ke mil ke gaao
machchharoñ par jāñ-nisārī ke liye sachche banū
un ke kuchh makkhan lagāo un ke tum chamche banū
machchharoñ ke kaaT lene kā sharaf hāsil ho jab
tum agar fariyād laa.e lab pe hogī be-sabab
aur likkhā jā.egā thāne meñ bhī nām-o-nasab
kuchh na bolo muñh se kahlāoge varna be-adab
machchharoñ ke pālne ko khol rakkhe haiñ gutter
''mard-e-nādāñ par kalām-e-narm-o-nāzuk be-asar''
aadmī par machchharoñ kā ye baḌā ehsān hai
ḳhuun pī lete haiñ jo sar-chashma-e-haijān hai
raat meñ bachchoñ kā chehra un kā dastar-ḳhvān hai
ashraf-e-maḳhlūq machchhar hai ki ye insān hai
aadmī marte haiñ to mar jaa.eñ par machchhar raheñ
shahr ke andar raheñ aur shahr ke bāhar raheñ
machchharoñ ko pālne vaale karachi aur salām
istifāda kar rahe haiñ machchharoñ se ḳhaas o aam
laḌte haiñ nāhaq junūbī aur shumālī vietnam
is se to behtar hai insāñ machchharoñ ke aa.eñ kaam
zindagī insāñ kī be-maqsad na honā chāhiye
ya.anī qurbānī kī koī had na honā chāhiye
ai karachi teri raunaq aur shahron mein kahan
machchharon ki bainal-aqwami numaish hai yahan
kis qadar aabaad hain teri nawahi bastiyan
in mein machchhar mehman hain aur machchhar mezban
machchharon ka shahr hai hifzan-e-sehhat ka nizam
kar raha hai puri puri tandahi se apna kaam
aur shahron ke bhi machchhar hain karachi mein muqim
kyunki ab chalti nahin is shahr mein bahri nasim
kar diya karta tha paspa machchharon ko ye ghanim
tark kar di hai hawaon ne bhi ab rasm-e-qadim
machchharon ne bandh rakkhi hai karachi mein hawa
in ke upar kargar hoti nahin koi dawa
ai karachi ghair mulkon se jo machchhar aae hain
kaise kaise tu ne un ke dad re sunwae hain
raat ko sote mein wo kanon pe jab manDlae hain
apne hi hathon se thappaD apne munh par khae hain
un ko rishwat bhi agar de den na baz aaenge wo
kaT kar chupke se tariki mein uD jaenge wo
chhoTe machchhar moTe machchhar aur baDe hain aur khare
shahr ke bazar aur ghar machchharon se hain bhare
raat din manDla rahe hain un ki faujon ke pare
kan par gate hain Takra kar ye baiju baware
machchharon ko ai karachi tu ne baKHsha hai wo chain
KHud ko har machchhar samajhta hai wahi hai tansen
ho chuka hai machchharon par KHun-e-insani halal
kaun un ko mar sakta hai kisi ki kya majal
machchharon ki parwarish ka KHas rakhte hain KHayal
aadmi ki jaan bach jae nahin is ka sawal
aadmi apni hifazat ke agar qabil nahin
machchharon ka KHun sar lene se kuchh hasil nahin
niklo machchhar-daniyan bandhe hue jab ghar se jao
zaKHmi ho jae badan itna ziyaada mat khujao
jab koi machchhar tumhein kaTe to us ka dil baDhao
balki tali bhi bajao sath us ke mil ke gao
machchharon par jaan-nisari ke liye sachche banu
un ke kuchh makkhan lagao un ke tum chamche banu
machchharon ke kaT lene ka sharaf hasil ho jab
tum agar fariyaad lae lab pe hogi be-sabab
aur likkha jaega thane mein bhi nam-o-nasab
kuchh na bolo munh se kahlaoge warna be-adab
machchharon ke palne ko khol rakkhe hain gutter
mard-e-nadan par kalam-e-narm-o-nazuk be-asar
aadmi par machchharon ka ye baDa ehsan hai
KHun pi lete hain jo sar-chashma-e-haijaan hai
raat mein bachchon ka chehra un ka dastar-KHwan hai
ashraf-e-maKHluq machchhar hai ki ye insan hai
aadmi marte hain to mar jaen par machchhar rahen
shahr ke andar rahen aur shahr ke bahar rahen
machchharon ko palne wale karachi aur salam
istifada kar rahe hain machchharon se KHas o aam
laDte hain nahaq junubi aur shumali wietnam
is se to behtar hai insan machchharon ke aaen kaam
zindagi insan ki be-maqsad na hona chahiye
yani qurbani ki koi had na hona chahiye
- Book : Teer-e-Neem Kash (Pg. 69)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Sang-e-Meel Publications, Lahore (P.k.) (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.