KHamoshi
agarche ye jahān-e-rañg-o-bū hai
magar har sū fasād-e-maiñ-o-tū hai
maiñ chup rah kar bahut kuchh kah gayā huuñ
ye ḳhāmoshī hī merī guftugū hai
tanz-o-mizāh kā yuuñ bhī karishma dikhā diyā
hans kar rulā diyā kabhī ro kar hañsā diyā
ḳhāmosh rah ke maiñ ne ka.ī baar 'ḳhvāh-maḳhvāh'
logoñ ko guftugū kā salīqa sikhā diyā
jab bhī yaad kisī kī dil meñ aatī jaatī rahtī hai
bhūlī-bisrī bātoñ kī ḳhushbū mahkātī rahtī hai
jab maazī kī āvāzeñ dīvāroñ se Takrātī haiñ
mere ghar meñ ḳhāmoshī bhī shor machātī rahtī hai
siyāhī kā bhī rang sunahrā dekhā hai
sāhil par bhī paanī gahrā dekhā hai
jis par ḳhāmoshī kā pahra dekhā hai
maiñ ne us āvāz kā chehra dekhā hai
kabhī hamdam kabhī hamrāz huā kartī hai
kabhī monis kabhī dam-sāz huā kartī hai
dil ke kānoñ se sunoge to sunā.ī degī
ḳhāmoshī meñ bhī ik āvāz huā kartī hai
ayaañ jo ho gayā rāz-e-nihāñ ḳhamoshī kā
farefta ho saarā jahāñ ḳhamoshī kā
ḳhud apne dil kā dhḌaknā sunā.ī detā hai
ye fā.eda bhī bahut hai miyāñ ḳhamoshī kā
samajh leñ raast goī ko jo shah-zorī samajhte haiñ
vo kaisī bhī ho ham chorī ko bas chorī samajhte haiñ
buland āvāz meñ sach bolnā yuuñ bhī zarūrī hai
hamārī ḳhāmoshī ko log kamzorī samajhte haiñ
zabān yuuñ bhī kabhī āsmān hotī hai
jo muñh meñ rah ke bhī tīr-o-kamān hotī hai
ajiib tarz-e-takallum hai ḳhāmoshī kā bhī
zabān rakhte hue be-zabān hotī hai
jo shā.irī meñ vo ūñchī uḌaan rakhtā hai
to guftugū meñ bhī mīThī zabān rakhtā hai
vo 'ḳhvāh-maḳhvāh' bahut kam-suḳhan to hai lekin
ḳhamoshiyoñ meñ chhupī dāstān rakhtā hai
agarche ye jahan-e-rang-o-bu hai
magar har su fasad-e-main-o-tu hai
main chup rah kar bahut kuchh kah gaya hun
ye KHamoshi hi meri guftugu hai
tanz-o-mizah ka yun bhi karishma dikha diya
hans kar rula diya kabhi ro kar hansa diya
KHamosh rah ke main ne kai bar 'KHwah-maKHwah'
logon ko guftugu ka saliqa sikha diya
jab bhi yaad kisi ki dil mein aati jati rahti hai
bhuli-bisri baaton ki KHushbu mahkati rahti hai
jab mazi ki aawazen diwaron se Takraati hain
mere ghar mein KHamoshi bhi shor machati rahti hai
siyahi ka bhi rang sunahra dekha hai
sahil par bhi pani gahra dekha hai
jis par KHamoshi ka pahra dekha hai
main ne us aawaz ka chehra dekha hai
kabhi hamdam kabhi hamraaz hua karti hai
kabhi monis kabhi dam-saz hua karti hai
dil ke kanon se sunoge to sunai degi
KHamoshi mein bhi ek aawaz hua karti hai
ayan jo ho gaya raaz-e-nihan KHamoshi ka
farefta ho sara jahan KHamoshi ka
KHud apne dil ka dhDakna sunai deta hai
ye faeda bhi bahut hai miyan KHamoshi ka
samajh len rast goi ko jo shah-zori samajhte hain
wo kaisi bhi ho hum chori ko bas chori samajhte hain
buland aawaz mein sach bolna yun bhi zaruri hai
hamari KHamoshi ko log kamzori samajhte hain
zaban yun bhi kabhi aasman hoti hai
jo munh mein rah ke bhi tir-o-kaman hoti hai
ajib tarz-e-takallum hai KHamoshi ka bhi
zaban rakhte hue be-zaban hoti hai
jo shairi mein wo unchi uDan rakhta hai
to guftugu mein bhi miThi zaban rakhta hai
wo 'KHwah-maKHwah' bahut kam-suKHan to hai lekin
KHamoshiyon mein chhupi dastan rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.