KHasare par KHasare ka bajaT tayyar hota hai
ḳhasāre par ḳhasāre kā bajaT tayyār hotā hai
ma.īshat kī taraqqī kā magar parchār hotā hai
tijārat jis tarah bāzār meñ kartā hai pansārī
adab meñ bhī vahī din raat kārobār hotā hai
agar marne kī Thānī hai to kyā sochā hai ye tum ne
girānī meñ kafan milnā bahut dushvār hotā hai
miyāñ jaate to ho sar par liye fariyād kī gaThrī
pata bhī hai tumheñ thāne meñ thānedār hotā hai
gile shikve se kyā hāsil ki daur-e-be-usūlī meñ
jo chaltā hai usūloñ par zalīl-o-ḳhvār hotā hai
nigāhoñ meñ jo manzar ho vahī sab kuchh nahīñ hotā
bahut kuchh aur bhī pyāre pas-e-dīvār hotā hai
Dakāreñ mārte caroñ meñ nā-kāre nazar aa.eñ
magar martā hai jo bhūkoñ koī fankār hotā hai
chalo ham bhī milā deñ apnī ḳhuddārī ko miTTī meñ
''ki daana ḳhaak meñ mil kar gul-e-gulzār hotā hai''
ḳhudī us kī bulandī kī taraf jā hī nahīñ saktī
kirāya-dār kuchh bhī ho kirāye-dār hotā hai
jo apnā bhaa.ī hai rahtā hai vo paañv kī Thokar meñ
magar jorū kā bhaa.ī to gale kā haar hotā hai
buḌhāpe meñ bhī T.V par vo āñkheñ señk lete haiñ
vo jab chāheñ hasīnoñ kā unheñ dīdār hotā hai
ḳhushāmad meñ hī aamad hai 'zafar' tū bhī ḳhushāmad kar
usī ke faiz se beḌā sabhoñ kā paar hotā hai
KHasare par KHasare ka bajaT tayyar hota hai
maishat ki taraqqi ka magar parchaar hota hai
tijarat jis tarah bazar mein karta hai pansari
adab mein bhi wahi din raat karobar hota hai
agar marne ki Thani hai to kya socha hai ye tum ne
girani mein kafan milna bahut dushwar hota hai
miyan jate to ho sar par liye fariyaad ki gaThri
pata bhi hai tumhein thane mein thanedar hota hai
gile shikwe se kya hasil ki daur-e-be-usuli mein
jo chalta hai usulon par zalil-o-KHwar hota hai
nigahon mein jo manzar ho wahi sab kuchh nahin hota
bahut kuchh aur bhi pyare pas-e-diwar hota hai
Dakaren marte caron mein na-kare nazar aaen
magar marta hai jo bhukon koi fankar hota hai
chalo hum bhi mila den apni KHuddari ko miTTi mein
ki dana KHak mein mil kar gul-e-gulzar hota hai
KHudi us ki bulandi ki taraf ja hi nahin sakti
kiraya-dar kuchh bhi ho kiraye-dar hota hai
jo apna bhai hai rahta hai wo panw ki Thokar mein
magar joru ka bhai to gale ka haar hota hai
buDhape mein bhi TV par wo aankhen senk lete hain
wo jab chahen hasinon ka unhen didar hota hai
KHushamad mein hi aamad hai 'zafar' tu bhi KHushamad kar
usi ke faiz se beDa sabhon ka par hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.