KHud-kushi
Interesting Fact
A satire on Partition violence
rahīmullāh huā achchhā to us ne
ye dekhā ho chukī hai partition
ga.e kuchh bhaag aur kuchh mar chuke haiñ
na netā-singh baaqī hai na bhīshan
sune is dāstāñ ke jab fasāne
to ġhusse ne banāyā us ko majnūñ
taḌap uTThā ki le kaise vo badla
piye in kāfiroñ kā kis tarah ḳhuuñ
na kyuuñ kahlā sakā vo mard-e-ġhāzī
vo is ġham meñ ka.ī rāteñ na soyā
shahādat hī kā rutba us ko miltā
na jab ye mil sakā vo ḳhuub royā
yakā-yak us ke sab palTe ḳhayālāt
to us ne dāman-e-islām chhoḌā
kināra-kash huā sab bhā.iyoñ se
na.e maz.hab se rishta apnā joḌā
ka.ī din baa'd jab niklā vo ghar se
to us ke muñh pe dāḌhī sar pe the baal
nihālā-singh ab thā naam us kā
liye kirpān vo ġhusse se thā laal
hazāroñ ḳhūñ-fishāñ armān le ke
khaḌā thā aaj vo masjid ke aage
pakaḌne ke liye us ko namāzī
namāzeñ chhoḌ kar masjid se bhāge
lagā kar ek na.ara vahshat-ālūd
vahī kirpān jhaT us ne nikālī
lagā kar qahqaha us ne ye kirpān
ma.an siine meñ apne ghoñp Daalī
nikālā phir use siine se bāhar
gale par zor se us ko phirāyā
aur apne jāñ-ba-haq hone se pahle
bayāñ apnā ye ruk ruk kar sunāyā
tamannā thī ki ik sikh maiñ bhī mārūñ
ye puurī tū ne kī allāh-ta.ālā
bahut ḳhush huuñ rahīmullāh-ḳhāñ ne
nihālā-singh-jī ko maar Daalā
rahimullah hua achchha to us ne
ye dekha ho chuki hai partition
gae kuchh bhag aur kuchh mar chuke hain
na neta-singh baqi hai na bhishan
sune is dastan ke jab fasane
to ghusse ne banaya us ko majnun
taDap uTTha ki le kaise wo badla
piye in kafiron ka kis tarah KHun
na kyun kahla saka wo mard-e-ghazi
wo is gham mein kai raaten na soya
shahadat hi ka rutba us ko milta
na jab ye mil saka wo KHub roya
yaka-yak us ke sab palTe KHayalat
to us ne daman-e-islam chhoDa
kinara-kash hua sab bhaiyon se
nae mazhab se rishta apna joDa
kai din ba'd jab nikla wo ghar se
to us ke munh pe daDhi sar pe the baal
nihaala-singh ab tha nam us ka
liye kirpan wo ghusse se tha lal
hazaron KHun-fishan arman le ke
khaDa tha aaj wo masjid ke aage
pakaDne ke liye us ko namazi
namazen chhoD kar masjid se bhage
laga kar ek nara wahshat-alud
wahi kirpan jhaT us ne nikali
laga kar qahqaha us ne ye kirpan
man sine mein apne ghonp Dali
nikala phir use sine se bahar
gale par zor se us ko phiraya
aur apne jaan-ba-haq hone se pahle
bayan apna ye ruk ruk kar sunaya
tamanna thi ki ek sikh main bhi marun
ye puri tu ne ki allah-taala
bahut KHush hun rahimullah-KHan ne
nihaala-singh-ji ko mar Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.