KHuda KHair kare
ek biivī ka.ī saale haiñ ḳhudā ḳhair kare
khaal sab khīñchne vaale haiñ ḳhudā ḳhair kare
tan ke vo ujle nazar aate haiñ jitne yaaro
man ke vo itne hī kaale haiñ ḳhudā ḳhair kare
kūcha-e-yār kā tai hogā safar ab kaise
paañv meñ chhāle hī chhāle haiñ ḳhudā ḳhair kare
merā sasurāl meñ koī bhī taraf-dār nahīñ
un ke hoñToñ pe bhī taale haiñ ḳhudā ḳhair kare
kyā ta.ajjub hai kisī roz hameñ bhī Das leñ
saañp kuchh ham ne paale haiñ ḳhudā ḳhair kare
aisī tabdīlī to ham ne kabhī dekhī na sunī
ab añdhere na ujāle haiñ ḳhudā ḳhair kare
har varaq par hai chhapī ġhair-mohazzab tasvīr
kitne behūda risāle haiñ ḳhudā ḳhair kare
'pāpular' haath meñ kaTTā hai to baste meñ haiñ bam
bachche bhī kitne jiyāle haiñ ḳhudā ḳhair kare
ek biwi kai sale hain KHuda KHair kare
khaal sab khinchne wale hain KHuda KHair kare
tan ke wo ujle nazar aate hain jitne yaro
man ke wo itne hi kale hain KHuda KHair kare
kucha-e-yar ka tai hoga safar ab kaise
panw mein chhaale hi chhaale hain KHuda KHair kare
mera sasural mein koi bhi taraf-dar nahin
un ke honTon pe bhi tale hain KHuda KHair kare
kya tajjub hai kisi roz hamein bhi Das len
sanp kuchh hum ne pale hain KHuda KHair kare
aisi tabdili to hum ne kabhi dekhi na suni
ab andhere na ujale hain KHuda KHair kare
har waraq par hai chhapi ghair-mohazzab taswir
kitne behuda risale hain KHuda KHair kare
'papular' hath mein kaTTa hai to baste mein hain bam
bachche bhi kitne jiyale hain KHuda KHair kare
- Book : Ha.ns Kar Guzar De (Pg. 104)
- Author : Sayed Ejazuddin Shah Papular Merthi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. Jamia Nagar (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.