KHwab jab se ek hasina ke nazar aane lage
KHwab jab se ek hasina ke nazar aane lage
Masroor Shahjahanpuri
MORE BYMasroor Shahjahanpuri
ḳhvāb jab se ik hasīna ke nazar aane lage
maulvī sāhab bhī beauty parlour jaane lage
ham ko thī un se mohabbat vo bhī the ham par fidā
baat sīdhī thī magar kuchh log uljhāne lage
niim ke buuTe pe vo kyā chaḌh ga.e ki shaiḳh jī
shiddat-e-jazbāt meñ nimboliyāñ khāne lage
us kī khatiyā kab khaḌī ho jaa.e kah sakte nahīñ
āshiqī kā jis ke sar par bhuut mañDrāne lage
muft kī pī kar kahī thī ek din ham ne ġhazal
sher uTh uTh kar chachā ġhālib se Takrāne lage
bā-tarannum ham ne bas matl.a paḌhā thā bazm meñ
log jo aa.e abhī the vo bhī ghar jaane lage
yuuñ kisī se kam na the hāzir-javābī meñ magar
vo hue jab sāmne 'masrūr' haklāne lage
KHwab jab se ek hasina ke nazar aane lage
maulwi sahab bhi beauty parlour jaane lage
hum ko thi un se mohabbat wo bhi the hum par fida
baat sidhi thi magar kuchh log uljhane lage
nim ke buTe pe wo kya chaDh gae ki shaiKH ji
shiddat-e-jazbaat mein nimboliyan khane lage
us ki khatiya kab khaDi ho jae kah sakte nahin
aashiqi ka jis ke sar par bhut manDrane lage
muft ki pi kar kahi thi ek din hum ne ghazal
sher uTh uTh kar chacha ghaalib se Takrane lage
ba-tarannum hum ne bas matla paDha tha bazm mein
log jo aae abhi the wo bhi ghar jaane lage
yun kisi se kam na the hazir-jawabi mein magar
wo hue jab samne 'masrur' haklane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.