kis ne kaha hai ye ki KHuda se dua na mang
kis ne kahā hai ye ki ḳhudā se duā na maañg
lekin bhalā.ī yaar kī apnā burā na maañg
jo jeb kāTnī ho to apnā blade rakh
naa.ī se us ke kaam kā tū usturā na maañg
jis ne diyā hai zahr tujhe khel khel meñ
aise sitam-zarīf se to phir davā na maañg
netā hai dil kā chāhe to dil se nikāl de
lekin hamāre ghaploñ kī fard-e-sazā na maañg
mahshar kī bhīḌ-bhāḌ meñ bachchoñ kī rel-pel
mujh se mare gunah kā hisāb ai ḳhudā na maañg
sachchī namāz vo hai jo ehsāñ se paak ho
masjid ke maulvī se kabhī boriyā na maañg
dil meñ ḳhayāl-e-shādī na aa.e dhiyān rakh
ai 'rāz' jān-būjh ke ghar kī balā na maañg
kis ne kaha hai ye ki KHuda se dua na mang
lekin bhalai yar ki apna bura na mang
jo jeb kaTni ho to apna blade rakh
nai se us ke kaam ka tu ustura na mang
jis ne diya hai zahr tujhe khel khel mein
aise sitam-zarif se to phir dawa na mang
neta hai dil ka chahe to dil se nikal de
lekin hamare ghaplon ki fard-e-saza na mang
mahshar ki bhiD-bhaD mein bachchon ki rel-pel
mujh se mare gunah ka hisab ai KHuda na mang
sachchi namaz wo hai jo ehsan se pak ho
masjid ke maulwi se kabhi boriya na mang
dil mein KHayal-e-shadi na aae dhiyan rakh
ai 'raaz' jaan-bujh ke ghar ki bala na mang
- Book : Ghalib aur Durgat (3rt Edition) (Pg. 117)
- Author : T.N. Raz
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.