kisi shobe mein hai biwi kahin sale honge
kisī shobe meñ hai biivī kahīñ saale hoñge
jaane kitnoñ ke yahāñ daal meñ kaale hoñge
jo sar-e-ām tirī gāliyāñ sun kar ḳhush hoñ
vo koī aur tire chāhne vaale hoñge
jin ke bātin meñ añdherā hī añdherā hogā
un ke chehroñ ke liye nuur ke haale hoñge
apne dam se hai zamāne meñ ghoTāloñ kā vajūd
ham jahāñ hoñge ghoTāle hī ghoTāle hoñge
ḳhair se jab tire ushshāq ko dāvat hogī
haath meñ ek to do muñh meñ nivāle hoñge
kisi shobe mein hai biwi kahin sale honge
jaane kitnon ke yahan dal mein kale honge
jo sar-e-am teri galiyan sun kar KHush hon
wo koi aur tere chahne wale honge
jin ke baatin mein andhera hi andhera hoga
un ke chehron ke liye nur ke haale honge
apne dam se hai zamane mein ghoTalon ka wajud
hum jahan honge ghoTale hi ghoTale honge
KHair se jab tere ushshaq ko dawat hogi
hath mein ek to do munh mein niwale honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.