kitni Dhal gai umr tumhaari hairat hai
kitnī Dhal ga.ī umr tumhārī hairat hai
ab tak kaise rahī kuñvārī hairat hai
ghar meñ aaTā daal na daliyā phir bhī shaiḳh
bāhar khā.eñ nān-nahārī hairat hai
apnā roz kā milnā āḳhir kaam aayā
ammī ban ga.iiñ saas tumhārī hairat hai
ham to tere tīr-e-nazar se mar jaate
lekin tere haath meñ aarī hairat hai
tere ruḳhsāroñ se duniyā raushan thī
kaise ho ga.ī zulmat taarī hairat hai
bañgla gaaḌī saath meñ naukar-chākar bhī
lekin baabū hai sarkārī hairat hai
tum ko ik din sub.h-savere dekhā thā
kaisī thī vo shakl tumhārī hairat hai
kitni Dhal gai umr tumhaari hairat hai
ab tak kaise rahi kunwari hairat hai
ghar mein aaTa dal na daliya phir bhi shaiKH
bahar khaen nan-nahaari hairat hai
apna roz ka milna aaKHir kaam aaya
ammi ban gain sas tumhaari hairat hai
hum to tere tir-e-nazar se mar jate
lekin tere hath mein aari hairat hai
tere ruKHsaron se duniya raushan thi
kaise ho gai zulmat tari hairat hai
bangla gaDi sath mein naukar-chaakar bhi
lekin babu hai sarkari hairat hai
tum ko ek din subh-sawere dekha tha
kaisi thi wo shakl tumhaari hairat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.