Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitni hasin hai sham chalo shairi karen

Masroor Shahjahanpuri

kitni hasin hai sham chalo shairi karen

Masroor Shahjahanpuri

MORE BYMasroor Shahjahanpuri

    kitnī hasīn hai shaam chalo shā.irī kareñ

    chhoḌo ye tām-jhām chalo shā.irī kareñ

    is shuġhl meñ na vaqt na mausam shart hai

    ho sub.h ki shaam chalo shā.irī kareñ

    marhūm shā.iroñ jo mil jaa.e kuchh kalām

    sarqe le ke jaam chalo shā.irī kareñ

    apnā bhī kuchh kalām ho auroñ ke maal meñ

    do chaar das gram chalo shā.irī kareñ

    sasurāl meñ bhī daal galnā muhāl hai

    saale haiñ be-lagām chalo shā.irī kareñ

    ḳhālī hai jeb ghar meñ bhī khāne ko kuchh nahīñ

    aayā hai vo maqām chalo shā.irī kareñ

    kāġhaz bhī hai qalam bhī hai huqqa chilam bhī hai

    puurā hai intizām chalo shā.irī kareñ

    kitni hasin hai sham chalo shairi karen

    chhoDo ye tam-jham chalo shairi karen

    is shughl mein na waqt na mausam ki shart hai

    ho subh ya ki sham chalo shairi karen

    marhum shairon ka jo mil jae kuchh kalam

    sarqe ka le ke jam chalo shairi karen

    apna bhi kuchh kalam ho auron ke mal mein

    do chaar das gram chalo shairi karen

    sasural mein bhi dal ka galna muhaal hai

    sale hain be-lagam chalo shairi karen

    KHali hai jeb ghar mein bhi khane ko kuchh nahin

    aaya hai wo maqam chalo shairi karen

    kaghaz bhi hai qalam bhi hai huqqa chilam bhi hai

    pura hai intizam chalo shairi karen

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now