kiya karte hain dildari dil-azari nahin karte
kiya karte hain dildari dil-azari nahin karte
Ameerul Islam Hashmi
MORE BYAmeerul Islam Hashmi
kiyā karte haiñ dildārī dil-āzārī nahīñ karte
hañsāne ke liye ham baat bāzārī nahīñ karte
mazāh-o-tanz meñ malhūz rakhte haiñ matānat ko
kabhī majrūh ham karte nahīñ lafzoñ kī hurmat ko
jo kam shādāb chehre haiñ unheñ shādāb karte haiñ
jo kam-sin haiñ bahut jhuk kar unheñ ādāb karte haiñ
ujāle ko ujālā raat ko ham raat kahte haiñ
salīqe se ba-andāz-e-digar har baat kahte haiñ
baḌhā kar baat dugunī yā kabhī tigunī nahīñ kahte
kisī kam-qad hasīna ko kabhī Thignī nahīñ kahte
kisī nāzuk badan ko ham kabhī moTī nahīñ kahte
kisī moTī se moTī ko double-roTī nahīñ kahte
jo misguide kare us ko to misguide nahīñ karte
bhalā.ī ko kisī bhī taur sab side nahīñ karte
banāte haiñ har ik māhaul ko ham pur-fazā yaaro
qabā-e-gul ko chhūte haiñ ba-andāz-e-sabā yaaro
kisī mis se jo nādānī meñ kuchh mistake ho jaa.e
duā karte haiñ nādānī bhī fāl-e-nek ho jaa.e
kiya karte hain dildari dil-azari nahin karte
hansane ke liye hum baat bazari nahin karte
mazah-o-tanz mein malhuz rakhte hain matanat ko
kabhi majruh hum karte nahin lafzon ki hurmat ko
jo kam shadab chehre hain unhen shadab karte hain
jo kam-sin hain bahut jhuk kar unhen aadab karte hain
ujale ko ujala raat ko hum raat kahte hain
saliqe se ba-andaz-e-digar har baat kahte hain
baDha kar baat duguni ya kabhi tiguni nahin kahte
kisi kam-qad hasina ko kabhi Thigni nahin kahte
kisi nazuk badan ko hum kabhi moTi nahin kahte
kisi moTi se moTi ko double-roTi nahin kahte
jo misguide kare us ko to misguide nahin karte
bhalai ko kisi bhi taur sab side nahin karte
banate hain har ek mahaul ko hum pur-faza yaro
qaba-e-gul ko chhute hain ba-andaz-e-saba yaro
kisi mis se jo nadani mein kuchh mistake ho jae
dua karte hain nadani bhi fal-e-nek ho jae
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 121)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.