kukDu-kun
na ḳhauf-e-barq na ḳhauf-e-sharar lage hai hameñ
adab ke idiot logoñ se Dar lage hai hameñ
ab aadhī raat ko murġhā kare hai kukḌu-kūñ
nizām-e-dahr hī zer-o-zabar lage hai hameñ
uThāyā jis ne bhī juutā baḌhāyā sar ham ne
qusūr-vār bas apnā hī sar lage hai hameñ
bihār bamba.ī punjab up-o-bangāl
har ek ilāqa hī ḳhāla kā ghar lage hai hameñ
kabhī jalan hai kabhī Tiis hai kabhī dhaḌkan
tumhārā dil bhī kirā.e kā ghar lage hai hameñ
na KHauf-e-barq na KHauf-e-sharar lage hai hamein
adab ke idiot logon se Dar lage hai hamein
ab aadhi raat ko murgha kare hai kukDu-kun
nizam-e-dahr hi zer-o-zabar lage hai hamein
uThaya jis ne bhi juta baDhaya sar hum ne
qusur-war bas apna hi sar lage hai hamein
bihaar bambai punjab up-o-bangal
har ek ilaqa hi KHala ka ghar lage hai hamein
kabhi jalan hai kabhi Tis hai kabhi dhaDkan
tumhaara dil bhi kirae ka ghar lage hai hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.