kutton ka mushaera
ik shab ko ek naale pe merā guzar huā
kuttoñ kā mun.aqid thā jahāñ ik mushā.era
''buġh'' kā janāb-e-sadr ne misra.a jo ik diyā
bhauñ-bhauñ kī gaTkarī pe sabhoñ ne uThā liyā
vo bait shaiḳh-ghesū kī kutiyāñ ne jhaaḌ dī
chit sāma.īn ho ga.e mahfil ukhāḌ dī
kutiyāñ thiiñ nau-javān ka.ī shā.erāt meñ
kuchh shā.er-e-karām the vaañ un kī ghaat meñ
bhauñ-bhauñ kī dhuum jabki machī kā.enāt meñ
do-chār un ko le uḌe chupke se raat meñ
kuchh to talāsh-e-yār meñ dam toḌne lage
ushshāq un kī yaad meñ sar phoḌne lage
ḳhārish-zada siyāh thī ik un meñ besvā
har saañs se nikaltī thī jis ke huā-huā
desī zabāñ meñ fiT thā vilāyat kā TeTuā
ghigghī bañdhī thī logoñ ke ausān the ḳhatā
haibat se ghoñsloñ meñ the taa.ir chhupe hue
maaoñ kī chhātiyoñ se the bachche lage hue
ik chaukīdār paas se guzrā jo nā-gahāñ
dam kā lañgoT bāñdh ke kutte hue ravāñ
koh o daman meñ guuñj ga.ī har taraf fuġhāñ
peñ-peñ kī soz-o-sāz meñ sab se ravāñ ravāñ
DañDā shaqī kā chaar taraf ghūmne lagā
jo zad meñ aa gayā vo zamīñ chūmne lagā
ek shab ko ek nale pe mera guzar hua
kutton ka munaqid tha jahan ek mushaera
bugh ka janab-e-sadr ne misra jo ek diya
bhaun-bhaun ki gaTkari pe sabhon ne uTha liya
wo bait shaiKH-ghesu ki kutiyan ne jhaD di
chit samain ho gae mahfil ukhaD di
kutiyan thin nau-jawan kai shaeraat mein
kuchh shaer-e-karam the wan un ki ghat mein
bhaun-bhaun ki dhum jabki machi kaenat mein
do-chaar un ko le uDe chupke se raat mein
kuchh to talash-e-yar mein dam toDne lage
ushshaq un ki yaad mein sar phoDne lage
KHarish-zada siyah thi ek un mein beswa
har sans se nikalti thi jis ke hua-hua
desi zaban mein fiT tha wilayat ka TeTua
ghigghi bandhi thi logon ke ausan the KHata
haibat se ghonslon mein the tair chhupe hue
maon ki chhatiyon se the bachche lage hue
ek chaukidar pas se guzra jo na-gahan
dam ka langoT bandh ke kutte hue rawan
koh o daman mein gunj gai har taraf fughan
pen-pen ki soz-o-saz mein sab se rawan rawan
DanDa shaqi ka chaar taraf ghumne laga
jo zad mein aa gaya wo zamin chumne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.