kutton ki conference
ek din aḳhbār meñ kuchh yuuñ ḳhabar thī besh-o-kam
ek ghar meñ ek hī din saat bachchoñ kā janam
is ajūba par hazāroñ tabsire hone lage
jitne ġhairat-dār kutte the vo sab rone lage
shiddat-e-ġham se har ik kutte ko tap chaḌhne lagā
bole ab insāñ hamārī ham-sarī karne lagā
ek kuttā to yahāñ tak kah gayā jazbāt meñ
kyā himāqat kī hai is ne aaj ke hālāt meñ
jab ki saarī qaum ke aage hai roTī kā savāl
aaj hī ke daur meñ is ko dikhānā thā kamāl
is ko lenā thā jo ham kuttoñ kī sohbat kā asar
aur bhī kuchh ḳhūbiyāñ thiiñ un pe karnī thī nazar
sab se pahle ye usūl-e-zindagānī sīkhtā
kis tarah hotī hai ghar kī pāsbānī sīkhtā
sab se pahle ham se lenā thā ise dars-e-vafā
aaj tak ye jis se be-bahra hai aur nā-āshnā
faqr-o-fāqa sīkhtā letā qanā.at kā sabaq
ham se pahle is ko lenā thā mohabbat kā sabaq
mutma.in haiñ ġhair is se aur na ḳhud is ke aziiz
ham ki rakhte haiñ sadā apne parā.e kī tamīz
ye jise bhī mārtā hai mārtā hai ban ke yaar
ham kisī par bhī nahīñ karte kabhī chupke se vaar
ham chhupāte haiñ na kaalā dhan na karte haiñ black
ham musalmāñ haiñ na hindū, hai hamārā dharm ek
ham kisī kā bhī namak khā kar nahīñ karte harām
ba musalmāñ allāh allāh yā barhaman raam raam
ham ki mai-noshī hī karte haiñ na ham piite haiñ bhañg
ham meñ haDDī Daal kar insān karvātā hai jañg
phir bhī apnī jañg ko ham mustaqil karte nahīñ
us kī tarah muddatoñ kashmīr meñ laḌte nahīñ
ashraf-e-maḳhlūq kaise paḌ gayā thā is kā naam
kyā nahīñ ai sāthiyo! ye Duub marne kā maqām
ye kare chorī pata ham se lagātī hai police
ham batāte haiñ to us ko khīñch laatī hai police
kaun sī phir fauqiyat hai aaj ke insān meñ
ham se aage kab ye pahuñchā hai kisī maidān meñ
har musībat har balā meñ is se pahle ham ga.e
intihā ye hai ḳhalā meñ is se pahle ham ga.e
ham bhī hote haiñ kabhī fitrī taqāzoñ ke shikār
sinf-e-nāzuk ko magar rakhte nahīñ sar pe savār
ik hamāre vāste qudrat ne rakkhā hai nizām
raat din ham nasl-sāzī kā nahīñ karte haiñ kaam
baat kyā sochī hameñ nīchā dikhāne ke liye
hirs bhī karne chalā bachche banāne ke liye
ek din aKHbar mein kuchh yun KHabar thi besh-o-kam
ek ghar mein ek hi din sat bachchon ka janam
is ajuba par hazaron tabsire hone lage
jitne ghairat-dar kutte the wo sab rone lage
shiddat-e-gham se har ek kutte ko tap chaDhne laga
bole ab insan hamari ham-sari karne laga
ek kutta to yahan tak kah gaya jazbaat mein
kya himaqat ki hai is ne aaj ke haalat mein
jab ki sari qaum ke aage hai roTi ka sawal
aaj hi ke daur mein is ko dikhana tha kamal
is ko lena tha jo hum kutton ki sohbat ka asar
aur bhi kuchh KHubiyan thin un pe karni thi nazar
sab se pahle ye usul-e-zindagani sikhta
kis tarah hoti hai ghar ki pasbani sikhta
sab se pahle hum se lena tha ise dars-e-wafa
aaj tak ye jis se be-bahra hai aur na-ashna
faqr-o-faqa sikhta leta qanaat ka sabaq
hum se pahle is ko lena tha mohabbat ka sabaq
mutmain hain ghair is se aur na KHud is ke aziz
hum ki rakhte hain sada apne parae ki tamiz
ye jise bhi marta hai marta hai ban ke yar
hum kisi par bhi nahin karte kabhi chupke se war
hum chhupate hain na kala dhan na karte hain black
hum musalman hain na hindu, hai hamara dharm ek
hum kisi ka bhi namak kha kar nahin karte haram
ba musalman allah allah ya barhaman ram ram
hum ki mai-noshi hi karte hain na hum pite hain bhang
hum mein haDDi Dal kar insan karwata hai jang
phir bhi apni jang ko hum mustaqil karte nahin
us ki tarah muddaton kashmir mein laDte nahin
ashraf-e-maKHluq kaise paD gaya tha is ka nam
kya nahin ai sathiyo! ye Dub marne ka maqam
ye kare chori pata hum se lagati hai police
hum batate hain to us ko khinch lati hai police
kaun si phir fauqiyat hai aaj ke insan mein
hum se aage kab ye pahuncha hai kisi maidan mein
har musibat har bala mein is se pahle hum gae
intiha ye hai KHala mein is se pahle hum gae
hum bhi hote hain kabhi fitri taqazon ke shikar
sinf-e-nazuk ko magar rakhte nahin sar pe sawar
ek hamare waste qudrat ne rakkha hai nizam
raat din hum nasl-sazi ka nahin karte hain kaam
baat kya sochi hamein nicha dikhane ke liye
hirs bhi karne chala bachche banane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.