kya un ko dil ka haal sunane se faeda
kyā un ko dil kā haal sunāne se fā.eda
hogā to hogā note dikhāne se fā.eda
nok-e-mizha jo dil meñ chubhī dil phaḌak uThā
kuchh to huā hai Tiika karāne se fā.eda
dil gum hai apnā chor kā lekin pata nahīñ
āshiq ko kyā police ke thāne se fā.eda
ma.alūm hai dikhāte haiñ vo ham ko sabz baaġh
lawrence-bāġh shaam ko jaane se fā.eda
ab bhī vo kah rahe haiñ ki mere buzurg ho
kuchh bhī huā na shev karāne se fā.eda
jo nīche jeb ke hai mirī jaañ use churā
āshiq kā fountain churāne se fā.eda
'laq-laq' zamāna ham se uThātā hai fā.ede
ham ne bhī kuchh uThāyā zamāne se fā.eda
kya un ko dil ka haal sunane se faeda
hoga to hoga note dikhane se faeda
nok-e-mizha jo dil mein chubhi dil phaDak uTha
kuchh to hua hai Tika karane se faeda
dil gum hai apna chor ka lekin pata nahin
aashiq ko kya police ke thane se faeda
malum hai dikhate hain wo hum ko sabz bagh
lawrence-bagh sham ko jaane se faeda
ab bhi wo kah rahe hain ki mere buzurg ho
kuchh bhi hua na shew karane se faeda
jo niche jeb ke hai meri jaan use chura
aashiq ka fountain churane se faeda
'laq-laq' zamana hum se uThata hai faede
hum ne bhi kuchh uThaya zamane se faeda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.