laDi is ThaT se mankuha-e-kafir-bayan meri
laḌī is ThaaT se mankūha-e-kāfir-bayāñ merī
farishte likhte likhte chhoḌ bhāge dāstāñ merī
mohalle-bhar kī dīvāroñ pe sar hī sar nazar aa.e
mire bachchoñ ne jis dam luuT lī tarz-e-fuġhāñ merī
ajab kuchh lutf rakhtā hai jo kahte haiñ miyāñ biivī
ki shādī ho ga.ī lekin kahāñ terī kahāñ merī
musalmāñ huuñ magar ye soch kar marne se Dartā huuñ
na jaane kis ke ghar jaa.e balā-e-nā-gahāñ merī
vahī hai iḳhtilāf-e-bāhamī kī anjuman ab to
faqat shādī ke din us ne milā.ī haañ meñ haañ merī
bahut shā.ista-e-andāz-e-guftan hai zabāñ us kī
nahīñ minnat-kash-e-tāb-e-shunīdan dāstāñ merī
laDi is ThaT se mankuha-e-kafir-bayan meri
farishte likhte likhte chhoD bhage dastan meri
mohalle-bhar ki diwaron pe sar hi sar nazar aae
mere bachchon ne jis dam luT li tarz-e-fughan meri
ajab kuchh lutf rakhta hai jo kahte hain miyan biwi
ki shadi ho gai lekin kahan teri kahan meri
musalman hun magar ye soch kar marne se Darta hun
na jaane kis ke ghar jae bala-e-na-gahan meri
wahi hai iKHtilaf-e-bahami ki anjuman ab to
faqat shadi ke din us ne milai han mein han meri
bahut shaista-e-andaz-e-guftan hai zaban us ki
nahin minnat-kash-e-tab-e-shunidan dastan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.