laDki ki dua
lab pe aatī hai duā ban ke tamannā merī
zindagī bhar kare āshiq mirā sevā merī
sub.h se shaam talak ho ke magan gaatā rahe
merā āshiq mirī ulfat meñ bhajan gaatā rahe
yuuñ maiñ chamkūñ ki zamāne meñ añdherā ho jaa.e
koī lañgDā koī andhā koī luulā ho jaa.e
mere jalvoñ ko atā kar de vo qudrat yā-rab
merī nafrat ko bhī samjhe vo mohabbat yā-rab
merī fitrat ho amīroñ se mohabbat karnā
aur ġharīboñ kī sar-e-rāh marammat karnā
bhole-bhāloñ kī raqam ḳhuub khilānā mujh ko
mire allāh sagā.ī se bachānā mujh ko
tū hai muḳhtār har ik raaz kā yazdānī hai
duudh laane kī mire ghar meñ pareshānī hai
peshgī hī mire darzī kī raqam bhī bhar de
vaqt paḌ jaa.e to daddy kī chilam bhī bhar de
apnī daulat kī mire haath meñ jholī de de
aisā āshiq nahīñ darkār jo golī de de
merā 'lachhman' sā ho devar mujhe maqdūr nahīñ
'rām' jaisā mirā shauhar ho ye manzūr nahīñ
jo pick-up kartā rahe pyaar kī bāñhoñ meñ mujhe
dekh saktā ho jo aġhyār kī bāñhoñ meñ mujhe
da.ave rakhtā na ho jo yaar patī hone kā
jazba rakhtā ho jo biivī pe satī hone kā
merī ulfat meñ use kar de tū pāgal maulā
maiñ kahūñ chaa.e to mañgvā de vo campa-cola
aa.ī āvāz-e-ḳhudāvand diye dete haiñ
dāḳhila terā J.N.U meñ kiye dete haiñ
lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri
zindagi bhar kare aashiq mera sewa meri
subh se sham talak ho ke magan gata rahe
mera aashiq meri ulfat mein bhajan gata rahe
yun main chamkun ki zamane mein andhera ho jae
koi langDa koi andha koi lula ho jae
mere jalwon ko ata kar de wo qudrat ya-rab
meri nafrat ko bhi samjhe wo mohabbat ya-rab
meri fitrat ho amiron se mohabbat karna
aur gharibon ki sar-e-rah marammat karna
bhole-bhaalon ki raqam KHub khilana mujh ko
mere allah sagai se bachana mujh ko
tu hai muKHtar har ek raaz ka yazdani hai
dudh lane ki mere ghar mein pareshani hai
peshgi hi mere darzi ki raqam bhi bhar de
waqt paD jae to daddy ki chilam bhi bhar de
apni daulat ki mere hath mein jholi de de
aisa aashiq nahin darkar jo goli de de
mera 'lachhman' sa ho dewar mujhe maqdur nahin
'ram' jaisa mera shauhar ho ye manzur nahin
jo pick-up karta rahe pyar ki banhon mein mujhe
dekh sakta ho jo aghyar ki banhon mein mujhe
dawe rakhta na ho jo yar pati hone ka
jazba rakhta ho jo biwi pe sati hone ka
meri ulfat mein use kar de tu pagal maula
main kahun chae to mangwa de wo campa-cola
aai aawaz-e-KHudawand diye dete hain
daKHila tera JNU mein kiye dete hain
- Book : kulliyat-e-saghar khyaamii (Pg. 110)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.