laila majnun ki shadi
ek sāhib ne kiyā hai radio par ye savāl
qais agar lailā kā bar hotā to kyā hotā ma.aal
ham ye kahte haiñ ye istifsār qabl-az-vaqt hai
kyuuñ nahīñ tai paa.ī shādī pahle ye kar liije tai
ālimoñ ke muḳhtalif aqvāl haiñ is baab meñ
muḳhtalif bahseñ huī haiñ halqa-e-ahbāb meñ
ik rivāyat ye bhī hai lailā se ghabrātā thā qais
manzil-e-shādī se ghabrā kar guzar jaatā thā qais
ek rivāyat ye bhī hai vo byaah ke qābil na thā
varna lailā ko bhagā lenā koī mushkil na thā
ik rivāyat ye bhī hai lailā kī maañ thī bad-chalan
vo to banñā chāhtī thī ḳhud hī majnūñ kī dulhan
ik rivāyat ye bhī hai hālāñki hai to kuchh za.iif
ḳhāndānī taur par majnūñ nahīñ thā kuchh sharīf
ye bhī kahte haiñ ki majnūñ byaah ko raazī na thā
ye bhī sunte haiñ ki sahrā meñ koī qaazī na thā
ik rivāyat ye bhī hai jhūTe haiñ sab 'faiz' o 'firāq'
likhne vāloñ ne kiyā hai paḌhne vāloñ se mazāq
ek rivāyat ye bhī hai jhagḌe kā baa.is thā jahez
hazrat-e-lailā ke ghar meñ koī kursī thī na mez
ye bhī sunte haiñ ki jab lailā ke ghar pahuñchī barāt
mādar-e-lailā ne ḳhud hī rok dī shādī kī baat
dekh kar majnūñ kā chehra us kī side aur back
mādar-e-lailā ne farmāyā ye laḌkā hai crack
ye nahīñ karne kā shādī kiije merā e'tibār
mujh se shādī ko bhī aayā thā yahī ummīd-vār
ālimoñ ke darmiyāñ jab is qadar ho iḳhtilāf
aap hī kahiye ye qissa kyā samajh meñ aa.e saaf
ek sahib ne kiya hai radio par ye sawal
qais agar laila ka bar hota to kya hota maal
hum ye kahte hain ye istifsar qabl-az-waqt hai
kyun nahin tai pai shadi pahle ye kar lije tai
aalimon ke muKHtalif aqwal hain is bab mein
muKHtalif bahsen hui hain halqa-e-ahbab mein
ek riwayat ye bhi hai laila se ghabraata tha qais
manzil-e-shadi se ghabra kar guzar jata tha qais
ek riwayat ye bhi hai wo byah ke qabil na tha
warna laila ko bhaga lena koi mushkil na tha
ek riwayat ye bhi hai laila ki man thi bad-chalan
wo to banna chahti thi KHud hi majnun ki dulhan
ek riwayat ye bhi hai haalanki hai to kuchh zaif
KHandani taur par majnun nahin tha kuchh sharif
ye bhi kahte hain ki majnun byah ko raazi na tha
ye bhi sunte hain ki sahra mein koi qazi na tha
ek riwayat ye bhi hai jhuTe hain sab 'faiz' o 'firaq'
likhne walon ne kiya hai paDhne walon se mazaq
ek riwayat ye bhi hai jhagDe ka bais tha jahez
hazrat-e-laila ke ghar mein koi kursi thi na mez
ye bhi sunte hain ki jab laila ke ghar pahunchi baraat
madar-e-laila ne KHud hi rok di shadi ki baat
dekh kar majnun ka chehra us ki side aur back
madar-e-laila ne farmaya ye laDka hai crack
ye nahin karne ka shadi kije mera e'tibar
mujh se shadi ko bhi aaya tha yahi ummid-war
aalimon ke darmiyan jab is qadar ho iKHtilaf
aap hi kahiye ye qissa kya samajh mein aae saf
- Book : Kulliyat Dilawar Figar (Pg. 168)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.