le le ke nam usne hamara ki hae hae
le le ke naam us ne hamārā ki haa.e haa.e
kis kis tarah se ham ko pukārā ki haa.e haa.e
kal gas par thā aaj bhapāre pe huuñ miyāñ
nazle ne aisā gher ke maarā ki haa.e haa.e
yūñhī chhuā thā us kī kalā.ī ko ek baar
vo haath us ne khīñch ke maarā ki haa.e haa.e
ye khurdurī sī jins ki vo bhī thā ik libās
shalvār reshmī vo ġharārā ki haa.e haa.e
kyā kyā nahīñ thā apnī tavāzo' meñ un ke ghar
chhole maTar vo ālū-buḳhārā ki haa.e haa.e
aate haiñ yaad mujh ko vo āzādiyoñ ke din
hotā thā maiñ bhī ek kuñvāra ki haa.e haa.e
vo lutf vo maza ki jo aayā na lauT kar
'masrūr' zindagī meñ dobāra ki haa.e haa.e
le le ke nam us ne hamara ki hae hae
kis kis tarah se hum ko pukara ki hae hae
kal gas par tha aaj bhapare pe hun miyan
nazle ne aisa gher ke mara ki hae hae
yunhi chhua tha us ki kalai ko ek bar
wo hath us ne khinch ke mara ki hae hae
ye khurduri si jins ki wo bhi tha ek libas
shalwar reshmi wo gharara ki hae hae
kya kya nahin tha apni tawazo' mein un ke ghar
chhole maTar wo aalu-buKHara ki hae hae
aate hain yaad mujh ko wo aazadiyon ke din
hota tha main bhi ek kunwara ki hae hae
wo lutf wo maza ki jo aaya na lauT kar
'masrur' zindagi mein dobara ki hae hae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.