mashuq jo Thigna hai to aashiq bhi hai naTa
ma.ashūq jo Thignā hai to āshiq bhī hai naaTā
us kā koī nuqsān na is ko koī ghāTā
terī to navāzish hai ki tū aa gayā lekin
ai dost mire ghar meñ na chāval hai na aaTā
laDDan to honeymōn manāne ga.e london
chal ham bhī clifton pe kareñ sair-sapāTā
tum ne to kahā thā ki chalo Duub mareñ ham
ab sāhil-e-dariyā pe khaḌe karte ho Tā-Tā
ushshāq rah-e-ishq meñ mohtāt raheñge
sīkhā hai hasīnoñ ne bhī ab jūdo-karāTā
kaalā na sahī laal sahī til to banā hai
achchhā huā machchhar ne tire gaal pe kaaTā
is zor se chheḌā to nahīñ thā use maiñ ne
jis zor se zālim ne jamāyā hai chamāTā
jab us ne bulāyā to 'ziyā' chal diye ghar se
bistar ko rakhā sar pe lapeTā na lapāTā
mashuq jo Thigna hai to aashiq bhi hai naTa
us ka koi nuqsan na is ko koi ghaTa
teri to nawazish hai ki tu aa gaya lekin
ai dost mere ghar mein na chawal hai na aaTa
laDDan to honeymoon manane gae london
chal hum bhi clifton pe karen sair-sapaTa
tum ne to kaha tha ki chalo Dub maren hum
ab sahil-e-dariya pe khaDe karte ho Ta-Ta
ushshaq rah-e-ishq mein mohtat rahenge
sikha hai hasinon ne bhi ab judo-karaTa
kala na sahi lal sahi til to bana hai
achchha hua machchhar ne tere gal pe kaTa
is zor se chheDa to nahin tha use main ne
jis zor se zalim ne jamaya hai chamaTa
jab us ne bulaya to 'ziya' chal diye ghar se
bistar ko rakha sar pe lapeTa na lapaTa
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 47)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.