machanic shaer
baiThe baiThe dil meñ ik shā.er ke aayā ye ḳhayāl
shā.irī se baḌh ke bhī duniyā ko dikhlā.e kamāl
raushnī meñ ''shams'' kī DhūñDā to sāñcha mil gayā
ittifāqan us ko ik motor kā Dhāñcha mil gayā
tube tyre burst aur engine kī hālat thī ḳharāb
bajte the midguard jaise bajte haiñ chañg-o-rabāb
kuchh clutch meñ thī ḳharābī aur TuuTe the break
sar se pā tak screw Dhīlā thā us kā ek ek
us ke bearing gal chuke the aur gudgeon-pin the ḳharāb
yaanī sūraj kī tarah Dhaltā hī jaatā thā shabāb!
rāste se us ke logoñ ko haTāne se thā kaam
yuuñ sivā.e horn ke bajte the kal-purze tamām
aur ye aalam thā jahāñ bhī roknā maqsūd ho
bas isī andāz se petrol is meñ Daal do
yā kisī bijlī ke khambe hī se Takrā do ise
do tarīqoñ meñ se jaise chāho Thahrā lo ise
jab huī start to samjho qayāmat aa ga.ī
jo bhī is motor meñ baiThā us kī shāmat aa ga.ī
baiThne vāloñ kā aksar raah meñ hotā thā khel!
ek kahtā thā ki haañ maiñ baiThtā huuñ tū dhakel!
us ke kal-purze bhī aur sāmān bhī kam-yāb thā
us kā order hī meñ aa jaanā ḳhayāl-o-ḳhvāb thā
jis ne is motor ko dekhā aql us kī ḳhabt thii!
sochte the dil meñ ye hazrat ki ab kyā kījiye
al-ġharaz tai kar liyā purzoñ kā chandā kījiye
axel to ford se piston bhī citeron se liye
aur ḳhushāmad karke tyre tube michelon se liye
maañg lī body fiat se aur purze bhī mile
radiator austin se horn cheverlet se
batri to buke kī lī aur cylinder dodge kaa!
ik purānā magnet studebaker ne diyā
auckland kā bhī purānā sā gear-box aa gayā
tan ke dhakne ke liye morris kā bonnet chhā gayā
haañ hamārī bicycle ne bhī kiyā ye kār-e-nek
rahm khā kar us ko apne de diye donoñ break
saare kal-purze farāham ho chuke jab ek saath
un ke fiT karne ko uTThā shā.ir-e-rañgīñ kā haath
raat ko do do baje tak Thokā-pīTī se thā kaam
jis ke baa.is niind ham-sāyoñ kī hotī thī harām
ek be-jāñ chiiz se sachchī mohabbat dekh kar
rah ga.e hairat meñ sab shā.er kī jiddat dekh kar
baat bigḌī thī kahāñ par aur kahāñ par ban ga.ī
is tarah se 'doctor-yāvar' kī motor ban ga.ī
baiThe baiThe dil mein ek shaer ke aaya ye KHayal
shairi se baDh ke bhi duniya ko dikhlae kamal
raushni mein shams ki DhunDa to sancha mil gaya
ittifaqan us ko ek motor ka Dhancha mil gaya
tube tyre burst aur engine ki haalat thi KHarab
bajte the midguard jaise bajte hain chang-o-rabab
kuchh clutch mein thi KHarabi aur TuTe the break
sar se pa tak screw Dhila tha us ka ek ek
us ke bearing gal chuke the aur gudgeon-pin the KHarab
yani suraj ki tarah Dhalta hi jata tha shabab!
raste se us ke logon ko haTane se tha kaam
yun siwae horn ke bajte the kal-purze tamam
aur ye aalam tha jahan bhi rokna maqsud ho
bas isi andaz se petrol is mein Dal do
ya kisi bijli ke khambe hi se Takra do ise
do tariqon mein se jaise chaho Thahra lo ise
jab hui start to samjho qayamat aa gai
jo bhi is motor mein baiTha us ki shamat aa gai
baiThne walon ka aksar rah mein hota tha khel!
ek kahta tha ki han main baiThta hun tu dhakel!
us ke kal-purze bhi aur saman bhi kam-yab tha
us ka order hi mein aa jaana KHayal-o-KHwab tha
jis ne is motor ko dekha aql us ki KHabt thi!
sochte the dil mein ye hazrat ki ab kya kijiye
al-gharaz tai kar liya purzon ka chanda kijiye
axel to ford se piston bhi citeron se liye
aur KHushamad karke tyre tube michelon se liye
mang li body fiat se aur purze bhi mile
radiator austin se horn chewerlet se
batri to buke ki li aur cylinder dodge ka!
ek purana magnet studebaker ne diya
auckland ka bhi purana sa gear-box aa gaya
tan ke dhakne ke liye morris ka bonnet chha gaya
han hamari bicycle ne bhi kiya ye kar-e-nek
rahm kha kar us ko apne de diye donon break
sare kal-purze faraham ho chuke jab ek sath
un ke fiT karne ko uTTha shair-e-rangin ka hath
raat ko do do baje tak Thoka-piTi se tha kaam
jis ke bais nind ham-sayon ki hoti thi haram
ek be-jaan chiz se sachchi mohabbat dekh kar
rah gae hairat mein sab shaer ki jiddat dekh kar
baat bigDi thi kahan par aur kahan par ban gai
is tarah se 'doctor-yawar' ki motor ban gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.