maghz-e-shaer
ik roz doctor se ye maiñ ne kahā janāb
muddat se kah rahā huuñ maiñ nazmeñ bahut ḳharāb
check kar ke merī khopaḌī kahne lagā huzūr
bheje meñ ghus gayā hai koī aap ke futūr
bolā badalnā hogā ye bhejā huzūr kā
bas hai yahī ilaaj dimāġhī futūr kā
maiñ ne kahā dimāġh kahāñ aur kahāñ haqīr
bolā ki daan māñgiye phir dekhiye sharīr
maiñ ne kahā ki aisā hī vaisā chalegā kyā
bolā ki shā.irāna ho kiiḌā dimāġh kā
pahle to ek shā.er-e-āzam se maiñ milā
barbādī-e-dimāġh kā un se kiyā gilā
maiñ ne kahā ki mujh pe karam kījiye janāb
thoḌā sā maġhz mujh ko ināyat kareñ shitāb
bole hamārā baiTh ke bhejā na khā.iye
uḌiye yahāñ se aur kahīñ siiTī bajā.iye
urdu adab meñ jo bhī hamārā maqām hai
ustād-e-mohtaram ke vo bheje kā kaam hai
mahrūm-e-maġhz ek dukāñ par ga.e jo ham
aa.e nazar dukān pe bheje ka.ī baham
kuchh sar-phire dimāġh hasīñ laḌkiyoñ ke the
bak bak jo kar rahe the vo sab bīviyoñ ke the
england kā dimāġh koī qāhira kā thā
chuġhlī jo kar rahā thā kisī shā.era kā thā
āshiq-mizāj kaam na le kar brain se
bheje laḌā rahe the har ik ain-ġhain se
faulād ke qafas meñ vo saare asiir the
bheje fasādiyoñ ke vahāñ par kasīr the
maiñ ne kahā brain koī āshiqāna de
jaldī se ik dimāġh mujhe shā.irāna de
dikhlā ke ik dimāġh vo kahne lagā janāb
rag rag meñ haiñ phañse hue ash.ār be-hisāb
bhejā mahak rahā hai zamāne kī daad se
labrez hai dimāġh ġhazal ke mavād se
maiñ ne kahā ye makkhiyāñ kyuuñ bhin-bhinā.e haiñ
bolā na.ī ġhazal pe na.ī dhun biThā.e haiñ
maiñ ne kahā ki daam batā.eñ mujhe shitāb
bolā dimāġh Thiik hai aur daam haiñ ḳharāb
bheje mirī dukān pe sab ānā-pā.ī haiñ
shā.er ke bas dimāġh ke paise bhī high haiñ
maiñ ne kahā ki khol de ye raaz tū nihāñ
shā.er ke kyuuñ dimāġh ke paise kiye girāñ
bolā kabhī-kabhār ye biktā hai kyā kareñ
sau phoḌiye to ek nikaltā hai kyā kareñ
ek roz doctor se ye main ne kaha janab
muddat se kah raha hun main nazmen bahut KHarab
check kar ke meri khopaDi kahne laga huzur
bheje mein ghus gaya hai koi aap ke futur
bola badalna hoga ye bheja huzur ka
bas hai yahi ilaj dimaghi futur ka
main ne kaha dimagh kahan aur kahan haqir
bola ki dan mangiye phir dekhiye sharir
main ne kaha ki aisa hi waisa chalega kya
bola ki shairana ho kiDa dimagh ka
pahle to ek shaer-e-azam se main mila
barbaadi-e-dimagh ka un se kiya gila
main ne kaha ki mujh pe karam kijiye janab
thoDa sa maghz mujh ko inayat karen shitab
bole hamara baiTh ke bheja na khaiye
uDiye yahan se aur kahin siTi bajaiye
urdu adab mein jo bhi hamara maqam hai
ustad-e-mohtaram ke wo bheje ka kaam hai
mahrum-e-maghz ek dukan par gae jo hum
aae nazar dukan pe bheje kai baham
kuchh sar-phire dimagh hasin laDkiyon ke the
bak bak jo kar rahe the wo sab biwiyon ke the
england ka dimagh koi qahira ka tha
chughli jo kar raha tha kisi shaera ka tha
aashiq-mizaj kaam na le kar brain se
bheje laDa rahe the har ek ain-ghain se
faulad ke qafas mein wo sare asir the
bheje fasadiyon ke wahan par kasir the
main ne kaha brain koi aashiqana de
jaldi se ek dimagh mujhe shairana de
dikhla ke ek dimagh wo kahne laga janab
rag rag mein hain phanse hue ashaar be-hisab
bheja mahak raha hai zamane ki dad se
labrez hai dimagh ghazal ke mawad se
main ne kaha ye makkhiyan kyun bhin-bhinae hain
bola nai ghazal pe nai dhun biThae hain
main ne kaha ki dam bataen mujhe shitab
bola dimagh Thik hai aur dam hain KHarab
bheje meri dukan pe sab aana-pai hain
shaer ke bas dimagh ke paise bhi high hain
main ne kaha ki khol de ye raaz tu nihan
shaer ke kyun dimagh ke paise kiye giran
bola kabhi-kabhaar ye bikta hai kya karen
sau phoDiye to ek nikalta hai kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.