mahalle bhar mein shohrat ho gai hai
mahalle bhar meñ shohrat ho ga.ī hai
hameñ un se mohabbat ho ga.ī hai
unheñ bhī ab buḳhār aane lagā hai
hameñ bhī kuchh harārat ho ga.ī hai
nazar aane lage haiñ din meñ taare
ye kyā do din meñ hālat ho ga.ī hai
ham un ke ishq meñ laTke hue haiñ
laTakne meñ mahārat ho ga.ī hai
nahīñ ab qāfiya koī bachā hai
ġhazal kahne meñ diqqat ho ga.ī hai
miyāñ 'masrūr' rahiyegā sañbhal kar
raqīboñ kī zamānat ho ga.ī hai
mahalle bhar mein shohrat ho gai hai
hamein un se mohabbat ho gai hai
unhen bhi ab buKHar aane laga hai
hamein bhi kuchh hararat ho gai hai
nazar aane lage hain din mein tare
ye kya do din mein haalat ho gai hai
hum un ke ishq mein laTke hue hain
laTakne mein mahaarat ho gai hai
nahin ab qafiya koi bacha hai
ghazal kahne mein diqqat ho gai hai
miyan 'masrur' rahiyega sanbhal kar
raqibon ki zamanat ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.