manzil-e-jaanan pe mein phirta-phiraata kal gaya
baat matlab kī chalā.ī thī ki juutā chal gayā
sāmne mere malī dilbar ne chehre par cream
is tarah goyā vo mere dil pe makkhan mal gayā
kyā hī saada the vo aur ab chalte purze ho ga.e
chāhne vāloñ kī ustādī se purza Dhal gayā
āh-e-sozāñ kī zarā tāsīr dekhā chāhiye
aah maiñ ne kī yahāñ vaañ un kā cigarette jal gayā
khāne piine par nahīñ 'laq-laq' madār-e-zindagī
koī kyā jaane ki maiñ kal kyuuñ arab hotel gayā
baat matlab ki chalai thi ki juta chal gaya
samne mere mali dilbar ne chehre par cream
is tarah goya wo mere dil pe makkhan mal gaya
kya hi sada the wo aur ab chalte purze ho gae
chahne walon ki ustadi se purza Dhal gaya
aah-e-sozan ki zara tasir dekha chahiye
aah main ne ki yahan wan un ka cigarette jal gaya
khane pine par nahin 'laq-laq' madar-e-zindagi
koi kya jaane ki main kal kyun arab hotel gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.