mausiqi se ilaj
ik muhaqqiq ne na.ī tahqīq farmā dī hai aaj
fann-e-mausīqī se bhī mumkin hai insānī ilaaj
sach hai ye daavā to ruḳhsat ai atibbā-e-kirām
mustagī ko bandagī qurs-e-mullayan ko salām
ab mudāvā-e-maraz hogā na.e andāz se
ab huvashshāfī kī āvāz aa.egī har saaz se
ab to nauTañgī hī meñ hogā ilāj-e-sāma.īn
al-firāq ai gul-banafsha alvidā ai nisaplin
nāmvar qavvāl puure doctor ho jā.eñge
sirf sāzinde jo haiñ compaundar ho jā.eñge
un davā-ḳhānoñ pe aise board ā.eñge nazar
mutrib-e-ātish-navā miss-nāz lady doctor
tharmameter kī jagah muñh meñ lagā kar bāñsurī
doctor dekhegā kyā hālat hai ab bīmār kī
maut bhī us shaḳhs tak aate hue ghabrā.egī
jis ke sar par naza.a meñ Daflī bajā.ī jā.egī
chūñki nusḳhoñ meñ ri.āyat hogī sirf ash.ār kī
sirf shā.er ko jagah dī jā.egī attār kī
paḌ ga.e ma.ajūn meñ kiiḌe ḳhamīra saḌ gayā
bū-alī-sīnā kī ummīdoñ pe paanī paḌ gayā
hazrat-e-'ajmal' ke jaadū kā asar zaa.il huā
aadmī 'fayyāz'-ḳhāñ ke art kā qaa.il huā
is ko kahte haiñ ḳhudā kī den ye hotī hai den
ab civil-surgeon banegā jānashīn-e-tān-sen
ab atibbā bhī nazar ā.eñge shahnā.ī-ba-dast
sharbat-e-unnāb kī botal ko paiġhām-e-shikast
un se kah do mubtalā haiñ jo kisī āzār meñ
ab shifā-ḳhāne khuleñge husn ke bāzār meñ
qabz ke maare hue bīmār ko kar do ḳhabar
ek Thumrī meñ hai itrifal zamānī kā asar
ab to aḳhbāroñ meñ shaa.e hoñge aise ishtihār
jumla amrāz-e-ḳhusūsī kī davā tabla sitār
jumla amrāz-e-ḳhabīsa kī davā-e-kārgar
naġhma-e-sāhir ba-āvāz-e-lata-mangeshkar
zo.af-e-me.ada hai to miss-kajjan kī qavvālī suno
ḳhushk khāñsī hai to nazm-e-hazrat-e-'hālī' suno
kyā zarūrī hai ki pechish kī davā ho aspaġhol
adviya to aur bhī haiñ biin baajā band Dhol
iḳhtilāj-e-qalb kī vāhid davā hai aaj kal
'bekal-utsāhī' se suniye ai mirī jān-e-ġhazal
is tarah nusḳha likhegā chāra-sāz-e-nabz-bīñ
dādrā das baara Thumrī do adad ek bhairvīñ''
sub.h-dam misl-e-shakīla mashq-e-qavvālī kunand
ḳhāk-e-pā-e-mushtarī-bā.ī ba-vaqt-e-shab ḳhūrand
ek muhaqqiq ne nai tahqiq farma di hai aaj
fann-e-mausiqi se bhi mumkin hai insani ilaj
sach hai ye dawa to ruKHsat ai atibba-e-kiram
mustagi ko bandagi qurs-e-mullayan ko salam
ab mudawa-e-maraz hoga nae andaz se
ab huwashshafi ki aawaz aaegi har saz se
ab to nauTangi hi mein hoga ilaj-e-samain
al-firaq ai gul-banafsha alwida ai nisaplin
namwar qawwal pure doctor ho jaenge
sirf sazinde jo hain compaundar ho jaenge
un dawa-KHanon pe aise board aaenge nazar
mutrib-e-atish-nawa miss-naz lady doctor
tharmameter ki jagah munh mein laga kar bansuri
doctor dekhega kya haalat hai ab bimar ki
maut bhi us shaKHs tak aate hue ghabraegi
jis ke sar par naza mein Dafli bajai jaegi
chunki nusKHon mein riayat hogi sirf ashaar ki
sirf shaer ko jagah di jaegi attar ki
paD gae majun mein kiDe KHamira saD gaya
bu-ali-sina ki ummidon pe pani paD gaya
hazrat-e-'ajmal' ke jadu ka asar zail hua
aadmi 'fayyaz'-KHan ke art ka qail hua
is ko kahte hain KHuda ki den ye hoti hai den
ab ciwil-surgeon banega jaanashin-e-tan-sen
ab atibba bhi nazar aaenge shahnai-ba-dast
sharbat-e-unnab ki botal ko paigham-e-shikast
un se kah do mubtala hain jo kisi aazar mein
ab shifa-KHane khulenge husn ke bazar mein
qabz ke mare hue bimar ko kar do KHabar
ek Thumri mein hai itrifal zamani ka asar
ab to aKHbaron mein shae honge aise ishtihaar
jumla amraaz-e-KHususi ki dawa tabla sitar
jumla amraaz-e-KHabisa ki dawa-e-kargar
naghma-e-sahir ba-awaz-e-lata-mangeshkar
zoaf-e-meada hai to miss-kajjan ki qawwali suno
KHushk khansi hai to nazm-e-hazrat-e-'haali' suno
kya zaruri hai ki pechish ki dawa ho aspaghol
adwiya to aur bhi hain bin baja band Dhol
iKHtilaj-e-qalb ki wahid dawa hai aaj kal
'bekal-utsahi' se suniye ai meri jaan-e-ghazal
is tarah nusKHa likhega chaara-saz-e-nabz-bin
dadra das bara Thumri do adad ek bhairwin
subh-dam misl-e-shakila mashq-e-qawwali kunand
KHak-e-pa-e-mushtari-bai ba-waqt-e-shab KHurand
- Book : Kulliyat-e-Dilavar Figar (Pg. 81)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.