Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    jāgeñ kabhī na aisā sulātī hai vaqt par

    shāh-o-faqīr sab ko uThātī hai vaqt par

    mumkin hai kisī vaqt vo be-vaqt hañsā de

    ye baat magar tai hai rulātī hai vaqt par

    sab us ko uñgliyoñ pe nachāte rahe magar

    tigunī naach vo bhī nachātī hai vaqt par

    pal-bhar bhī kaam hone pe ruktī nahīñ kabhī

    aatī hai jaise vaise jaatī hai vaqt par

    umr-e-ravāñ ke saath vo rahtī hai umr-bhar

    bas ek baar ruuTh ke jaatī hai vaqt par

    anjām us bā.is-e-ibrat ho is liye

    ho gar burā koī to satātī hai vaqt par

    jo dar-ba-dar hai āḳhirī manzil khoj meñ

    us ko bhī sīdhī raah dikhātī hai vaqt par

    stage par dikhā ke na.e khel tamāshe

    parda vo zindagī girātī hai vaqt par

    hai maut bhī ajiib ma.ashūq 'ḳhvāh-maḳhvāh'

    va.ada kiye baġhair bhī aatī hai vaqt par

    jagen kabhi na aisa sulati hai waqt par

    shah-o-faqir sab ko uThati hai waqt par

    mumkin hai kisi waqt wo be-waqt hansa de

    ye baat magar tai hai rulati hai waqt par

    sab us ko ungliyon pe nachate rahe magar

    tiguni ka nach wo bhi nachati hai waqt par

    pal-bhar bhi kaam hone pe rukti nahin kabhi

    aati hai jaise waise hi jati hai waqt par

    umr-e-rawan ke sath wo rahti hai umr-bhar

    bas ek bar ruTh ke jati hai waqt par

    anjam us ka bais-e-ibrat ho is liye

    ho gar bura koi to satati hai waqt par

    jo dar-ba-dar hai aaKHiri manzil ki khoj mein

    us ko bhi sidhi rah dikhati hai waqt par

    stage par dikha ke nae khel tamashe

    parda wo zindagi ka giraati hai waqt par

    hai maut bhi ajib hi mashuq 'KHwah-maKHwah'

    wada kiye baghair bhi aati hai waqt par

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now