maut par nani ke gham mein baal munDwaenge kya
maut par nani ke gham mein baal munDwaenge kya
Masroor Shahjahanpuri
MORE BYMasroor Shahjahanpuri
maut par naanī ke ġham meñ baal muñDvā.eñge kyā
phir se baḌh aane talak naanā na mar jā.eñge kyā
phir se vo yogā kī varzish kar rahe haiñ baam par
phir se laTh apne mohalle meñ vo chalvā.eñge kyā
ek bosa de ke vo bole maza aayā nahīñ
ek bose meñ rumūz-e-ishq khul jā.eñge kyā
pahle dil par haath maarā phir jigar bhī khā ga.e
noch kar vo ab hamārī boTiyāñ khā.eñge kyā
baa'd muddat ke hue haiñ ham tumhāre mehmāñ
ab binā khaa.e piye yūñhī saTak jā.eñge kyā
aa rahe haiñ vo passenger se ilāhī ḳhair ho
dekhiye ham zindagī meñ un se mil pā.eñge kyā
chaar din kī zindagī meñ do kaTe sasurāl meñ
do dinoñ ke vāste 'masrūr' ghar jā.eñge kyā
maut par nani ke gham mein baal munDwaenge kya
phir se baDh aane talak nana na mar jaenge kya
phir se wo yoga ki warzish kar rahe hain baam par
phir se laTh apne mohalle mein wo chalwaenge kya
ek bosa de ke wo bole maza aaya nahin
ek bose mein rumuz-e-ishq khul jaenge kya
pahle dil par hath mara phir jigar bhi kha gae
noch kar wo ab hamari boTiyan khaenge kya
ba'd muddat ke hue hain hum tumhaare mehman
ab bina khae piye yunhi saTak jaenge kya
aa rahe hain wo passenger se ilahi KHair ho
dekhiye hum zindagi mein un se mil paenge kya
chaar din ki zindagi mein do kaTe sasural mein
do dinon ke waste 'masrur' ghar jaenge kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.