Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera har sher hai mashhur misalon ki tarah

Jauhar Siwani

mera har sher hai mashhur misalon ki tarah

Jauhar Siwani

MORE BYJauhar Siwani

    merā har she'r hai mash.hūr misāloñ tarah

    maiñ to har shahr meñ phailā huuñ ujāloñ tarah

    jūtiyāñ khā ke bhī har naaz uThāyā maiñ ne

    maiñ ne chāhā hai unheñ chāhne vāloñ tarah

    kyā kahūñ chaltī hai kaise mirī biivī zabāñ

    din meñ qaiñchī tarah raat meñ bhāloñ tarah

    apnā ghar likh jo diyā shaiḳh ne do beToñ ko

    ik chanā baT gayā do hissoñ meñ dāloñ tarah

    log is daur ġhazloñ ko bhalā kyā samjheñ

    har ġhazal uljhī hai uljhe hue bāloñ tarah

    tez chalne se lachak jā.egī kah do yaaro

    un nāzuk hai kamar phuul Dāloñ tarah

    kabhī līmūñ tarah tursh adā.eñ un

    chaTpaTī tez kabhī garm-masāloñ tarah

    gāliyāñ jitnī bhī ījād huī haiñ ab tak

    un ko azbar haiñ muhaqqiq ke havāloñ tarah

    boot aur suit sar-e-bazm lañgoTī ghar meñ

    kabhī goroñ tarah haiñ kabhī kāloñ tarah

    qaid meñ Daal diyā us ko emergency ne

    pahle bad-amnī thī shahroñ meñ chhināloñ tarah

    muñh pe kālak hai ġhāza to gadhe par haiñ savār

    haajī mastān chale jail jiyāloñ tarah

    mera har she'r hai mashhur misalon ki tarah

    main to har shahr mein phaila hun ujalon ki tarah

    jutiyan kha ke bhi har naz uThaya main ne

    main ne chaha hai unhen chahne walon ki tarah

    kya kahun chalti hai kaise meri biwi ki zaban

    din mein qainchi ki tarah raat mein bhaalon ki tarah

    apna ghar likh jo diya shaiKH ne do beTon ko

    ek chana baT gaya do hisson mein dalon ki tarah

    log is daur ki ghazlon ko bhala kya samjhen

    har ghazal uljhi hai uljhe hue baalon ki tarah

    tez chalne se lachak jaegi kah do yaro

    un ki nazuk hai kamar phul ki Dalon ki tarah

    kabhi limun ki tarah tursh adaen un ki

    chaTpaTi tez kabhi garm-masalon ki tarah

    galiyan jitni bhi ijad hui hain ab tak

    un ko azbar hain muhaqqiq ke hawalon ki tarah

    boot aur suit sar-e-bazm langoTi ghar mein

    kabhi goron ki tarah hain kabhi kalon ki tarah

    qaid mein Dal diya us ko emergency ne

    pahle bad-amni thi shahron mein chhinalon ki tarah

    munh pe kalak ka hai ghaza to gadhe par hain sawar

    haji mastan chale jail jiyalon ki tarah

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now