mera intiKHabi manshur
ḳhushā ai votaro lo maiñ bhī ik manshūr laayā huuñ
tamannāoñ kī bhūrī bairiyoñ par bor laayā huuñ
maiñ apnī ḳhud-kashīda bhaap par āzād laḌtā huuñ
akelā saare ustādoñ se be-ustād laḌtā huuñ
raqīboñ ko bharosā hogā apne kārnāmoñ par
mujhe hai faḳhr apne māhir-e-fan ḳhān-sāmoñ par
har ik dil-band hājat-mand ko ḳhursand kar dūñgā
galī kūche kī gandī nāliyoñ ko band kar dūñgā
''bajaT'' maiñ kam se kam rakkhūñgā ḳharcha kār-ḳhānoñ kā
magar thamne na dūñgā ġhalġhala filmī tarānoñ kā
mirī jān-e-hazīñ kā bār-e-ġham halkā nahīñ hogā!
ki jab tak har galī ke moḌ par niklā nahīñ hogā
na.e uslūb se juz-bandi-e-kār-e-jahāñ hogī
mire sab votaroñ ke ghar meñ ''ratoin'' kī dukāñ hogī
guzishta do sadī se saḳht ''texa.e'' ga.e ho tum
ab āsā.ish kī jānib gher kar laa.e ga.e ho tum
karūñgā aur bhī patlī qabā.eñ nāznīnoñ kī
madāris meñ raheñgī chhuTTiyāñ baara mahīnoñ kī
classeñ hī na jab hoñgī to vo kis ko paḌhā.egā
hamāre daur meñ teacher faqat tanḳhvāh pā.egā
rivāyāt-e-kasād-o-kāhilī chamkā.ī jā.eñgī!
javāñ-mardoñ kī zulfeñ paañv tak laTkā.ī jā.eñgī
havālāteñ to kuchh hoñgī magar ''thāne'' nahīñ hoñge
pareshānī ke uupar ye ''pareshāne'' nahīñ hoñge
ye khaa.e roTiyāñ merī vo noche boTiyāñ merī
chaman meñ har taraf uḌtī huī lañgoTiyāñ merī
KHusha ai wotaro lo main bhi ek manshur laya hun
tamannaon ki bhuri bairiyon par bor laya hun
main apni KHud-kashida bhap par aazad laDta hun
akela sare ustadon se be-ustad laDta hun
raqibon ko bharosa hoga apne karnamon par
mujhe hai faKHr apne mahir-e-fan KHan-samon par
har ek dil-band hajat-mand ko KHursand kar dunga
gali kuche ki gandi naliyon ko band kar dunga
bajaT main kam se kam rakkhunga KHarcha kar-KHanon ka
magar thamne na dunga ghalghala filmi taranon ka
meri jaan-e-hazin ka bar-e-gham halka nahin hoga!
ki jab tak har gali ke moD par nikla nahin hoga
nae uslub se juz-bandi-e-kar-e-jahan hogi
mere sab wotaron ke ghar mein ratoin ki dukan hogi
guzishta do sadi se saKHt texae gae ho tum
ab aasaish ki jaanib gher kar lae gae ho tum
karunga aur bhi patli qabaen nazninon ki
madaris mein rahengi chhuTTiyan bara mahinon ki
classen hi na jab hongi to wo kis ko paDhaega
hamare daur mein teacher faqat tanKHwah paega
riwayat-e-kasad-o-kahili chamkai jaengi!
jawan-mardon ki zulfen panw tak laTkai jaengi
hawalaten to kuchh hongi magar thane nahin honge
pareshani ke upar ye pareshane nahin honge
ye khae roTiyan meri wo noche boTiyan meri
chaman mein har taraf uDti hui langoTiyan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.