mir o ghaalib
ek shā.er ne ġhazal bhejī kisī aḳhbār meñ
taaki shohrat ho adab ke mo'tabar bāzār meñ
kuchh dinoñ to us ko chhapne kā rahā ik intizār
pahuñchā āḳhir mālik-e-aḳhbār ke darbār meñ
ho ke barham jaate hī shikva editor se kiyā
ye to batlā.eñ kamī kyā thī mere ash.ār meñ?
aap ko ye kyā ḳhabar thā mujh ko kitnā iztirāb
niiñd haftoñ tak na aa.ī dīda-e-bedār meñ
ye editor ne kahā maiñ chhāptā kaise ġhazal?
vo bulandī hī na thī jo chāhiye afkār meñ
sher koī ḳhāna-e-dil meñ utartā hī nahīñ
nā musībat ye kamī hai kāvish-e-fankār meñ
jis ko kahtā hai zamāna ġhair-meyārī kalām
chhap nahīñ saktā kabhī hargiz mire aḳhbār meñ
sun ke is remark ko maġhmūm shā.er ne kahā
'mīr' o 'ġhālib' bhī nahīñ kuchh aap ke darbār meñ
kulliyāt-e-'mīr'-o-'ġhālib' se ġhazal laayā thā maiñ
aaj vo bhī chhap na paa.ī aap ke aḳhbār meñ!
ek shaer ne ghazal bheji kisi aKHbar mein
taki shohrat ho adab ke mo'tabar bazar mein
kuchh dinon to us ko chhapne ka raha ek intizar
pahuncha aaKHir malik-e-aKHbar ke darbar mein
ho ke barham jate hi shikwa editor se kiya
ye to batlaen kami kya thi mere ashaar mein?
aap ko ye kya KHabar tha mujh ko kitna iztirab
nind hafton tak na aai dida-e-bedar mein
ye editor ne kaha main chhapta kaise ghazal?
wo bulandi hi na thi jo chahiye afkar mein
sher koi KHana-e-dil mein utarta hi nahin
na musibat ye kami hai kawish-e-fankar mein
jis ko kahta hai zamana ghair-meyari kalam
chhap nahin sakta kabhi hargiz mere aKHbar mein
sun ke is remark ko maghmum shaer ne kaha
'mir' o 'ghaalib' bhi nahin kuchh aap ke darbar mein
kulliyat-e-'mir'-o-'ghaalib' se ghazal laya tha main
aaj wo bhi chhap na pai aap ke aKHbar mein!
- Book : Papular Kalam (Pg. 95)
- Author : Sayed Ejazuddin Shah Papular Merthi
- Publication : S.K. Rastogi for Krishna Prakashan Media (P) Ltd.
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.