miyan ke dost
aa.e miyāñ ke dost to aate chale ga.e
chhoTe se ek ghar meñ samāte chale ga.e
vo qahqahe lage ki chhateñ ghar kī uḌ ga.iiñ
buniyād saare ghar kī hilāte chale ga.e
bakvās un kī sun ke shayātīn ro paḌe
royā jo ek sab ko rulāte chale ga.e
naukar ne aaj chaa.e ke dariyā bahā diye
dariyā samundaroñ meñ samāte chale ga.e
almāriyoñ meñ saham ga.e biskiToñ ke Tan
chun chun ke ek ek ko khāte chale ga.e
khāne kī chīzeñ nādir-o-nāyāb ho ga.iiñ
dillī kā qatl-e-ām machāte chale ga.e
sheroñ kī tarah TuuT paḌe aa ke mez par
jo chiiz bhī milī vo chabāte chale ga.e
jaise police-man pakaḌtā hai chor ko
har shai pakaḌ ke peT meñ laate chale ga.e
engine kī tarah muñh se ugalte rahe dhuāñ
aur sigreToñ kī raakh girāte chale ga.e
har samt pheñk pheñk ke māchis kī tīliyāñ
kuuḌe kā farsh ghar meñ bichhāte chale ga.e
kamre meñ ghūmte hue kīchaḌ-bhare vo boot
qālīn ke nasīb jagāte chale ga.e
dīvāroñ se Tike rahe chupḌe hue vo sar
har naqsh-e-mā-sivā ko miTāte chale ga.e
āvāzeñ ''āḳh thūḳh'' kī hotī rahīñ buland
so.e hue guloñ ko jagāte chale ga.e
koī kitāb apne Thikāne na rah sakī
hindī ko fārsī meñ milāte chale ga.e
aḳhbāroñ kī vo dhajjiyāñ bikhrīñ ki kyā kahūñ
ab in se vo nigāh ke naate chale ga.e
dīvāreñ vo nahīñ rahīñ vo dar nahīñ rahā
jis ghar pe mujh ko naaz thā vo ghar nahīñ rahā
aae miyan ke dost to aate chale gae
chhoTe se ek ghar mein samate chale gae
wo qahqahe lage ki chhaten ghar ki uD gain
buniyaad sare ghar ki hilate chale gae
bakwas un ki sun ke shayatin ro paDe
roya jo ek sab ko rulate chale gae
naukar ne aaj chae ke dariya baha diye
dariya samundaron mein samate chale gae
almariyon mein saham gae biskiTon ke Tan
chun chun ke ek ek ko khate chale gae
khane ki chizen nadir-o-nayab ho gain
dilli ka qatl-e-am machate chale gae
sheron ki tarah TuT paDe aa ke mez par
jo chiz bhi mili wo chabaate chale gae
jaise police-man pakaDta hai chor ko
har shai pakaD ke peT mein late chale gae
engine ki tarah munh se ugalte rahe dhuan
aur sigreTon ki rakh giraate chale gae
har samt phenk phenk ke machis ki tiliyan
kuDe ka farsh ghar mein bichhate chale gae
kamre mein ghumte hue kichaD-bhare wo boot
qalin ke nasib jagate chale gae
diwaron se Tike rahe chupDe hue wo sar
har naqsh-e-ma-siwa ko miTate chale gae
aawazen aaKH thuKH ki hoti rahin buland
soe hue gulon ko jagate chale gae
koi kitab apne Thikane na rah saki
hindi ko farsi mein milate chale gae
aKHbaron ki wo dhajjiyan bikhrin ki kya kahun
ab in se wo nigah ke nate chale gae
diwaren wo nahin rahin wo dar nahin raha
jis ghar pe mujh ko naz tha wo ghar nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.