mutton ki samt main baDhta hun tu kabab uTha
mutton kī samt maiñ baḌhtā huuñ tū kabāb uThā
ye lamha-bhar kā tamāshā hai be-hijāb uThā
hamārī zulf-e-siyah kā bharam na khul jaa.e
bachā huā hai jo piyālī meñ vo ḳhizāb uThā
agar hai niiñd na aane kā āriza tujh ko
to bed pe leT ke fauran koī kitāb uThā
tū radio hai zamāne se ab to ban T.v
sadā ke saath hī picture bhī ho naqāb uThā
tarah tarah ke masā.il haiñ āshiqoñ ke liye
kisī bhī 'ahd-e-mohabbat kā tū nisāb uThā
maiñ saañs rok ke baiThā huuñ rahm kar mujh par
abhī jo ek utārī hai vo jurāb uThā
ye lag rahā hai tirī daal ab nahīñ galnī
jo us ke vāste laayā hai vo gulāb uThā
mutton ki samt main baDhta hun tu kabab uTha
ye lamha-bhar ka tamasha hai be-hijab uTha
hamari zulf-e-siyah ka bharam na khul jae
bacha hua hai jo piyali mein wo KHizab uTha
agar hai nind na aane ka aariza tujh ko
to bed pe leT ke fauran koi kitab uTha
tu radio hai zamane se ab to ban Tw
sada ke sath hi picture bhi ho naqab uTha
tarah tarah ke masail hain aashiqon ke liye
kisi bhi 'ahd-e-mohabbat ka tu nisab uTha
main sans rok ke baiTha hun rahm kar mujh par
abhi jo ek utari hai wo jurab uTha
ye lag raha hai teri dal ab nahin galni
jo us ke waste laya hai wo gulab uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.