Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na hon paise to istiqbaaliyon se kuchh nahin hoga

Khalid Irfan

na hon paise to istiqbaaliyon se kuchh nahin hoga

Khalid Irfan

MORE BYKhalid Irfan

    na hoñ paise to istiqbāliyoñ se kuchh nahīñ hogā

    kisī shā.ir ko ḳhālī tāliyoñ se kuchh nahīñ hogā

    nikal aa.ī hai un ke peT se phathrī shakar-koTeD

    jo kahtī thī ki mīThī chhāliyoñ se kuchh nahīñ hogā

    ''ḳhudī'' ko bech kar ''shāhīn'' ko bhī zab.h kar Daalā

    ham aise zūd-hazm iqbāliyoñ se kuchh nahīñ hogā

    vahī hazrāt taqsīm-e-vatan ke asl mujrim haiñ

    jo kahte haiñ yahāñ bañgāliyoñ se kuchh nahīñ hogā

    abas hai un se ik chiḌiyā ke bachche vilādat bhī

    ki in fashion-zada ghar-vāliyoñ se kuchh nahīñ hogā

    mazā jab hai ki zindoñ ko sunāo naġhma-e-ulfat

    kisī qabr par qavvāliyoñ se kuchh nahīñ hogā

    ye bachchoñ meñ izāfa kar rahe haiñ raat din 'ḳhālid'

    opposition ke in haḌtāliyoñ se kuchh nahīñ hogā

    na hon paise to istiqbaaliyon se kuchh nahin hoga

    kisi shair ko KHali taliyon se kuchh nahin hoga

    nikal aai hai un ke peT se phathri shakar-koTeD

    jo kahti thi ki miThi chhaaliyon se kuchh nahin hoga

    KHudi ko bech kar shahin ko bhi zabh kar Dala

    hum aise zud-hazm iqbaaliyon se kuchh nahin hoga

    wahi hazraat taqsim-e-watan ke asl mujrim hain

    jo kahte hain yahan bangaliyon se kuchh nahin hoga

    abas hai un se ek chiDiya ke bachche ki wiladat bhi

    ki in fashion-zada ghar-waliyon se kuchh nahin hoga

    maza jab hai ki zindon ko sunao naghma-e-ulfat

    kisi ki qabr par qawwaliyon se kuchh nahin hoga

    ye bachchon mein izafa kar rahe hain raat din 'KHalid'

    opposition ke in haDtaliyon se kuchh nahin hoga

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now