nau manzila building
zamīñ kā raqs-e-paiham sard lohe kī nukīlī kiil, zanjīr-e-kashish, shāne
aur ik nau manzila building
aur is nau manzila building ko apne nā-tavāñ shānoñ kī bāqī-māñda quvvat se sambhāle
is fasurda shahr kī sab se baḌī fōtpath par Tāñgeñ pasāre
har guzarte vāhime ko takne vaalā maiñ
ye barfīlī havā thī yā koī lamha
sabā-raftār lamha barq-dam lamha
jo merī uñgliyoñ ke darmiyāñ se ḳhvāb kī mānind guzrā
kyā murūr-e-vaqt jaarī hai?
mire lāġhar badan meñ kaun nāḳhun gāḌtā hai?
kyuuñ zamīñ yaḳh-basta zambūroñ meñ mere paañv jakḌe hai
maiñ āḳhir kaun huuñ? maiñ kaun huuñ? aur naam....
merā naam kyā hai? kyā maiñ zinda huuñ?
maiñ zinda huuñ maiñ zinda huuñ maiñ apnī chīḳh sun saktā huuñ
''ik pal ke liye Thahro bas ik pal ke liye Thahro
ki is nau manzila building se apne nā-tavāñ shānoñ ko maiñ āzād to kar lūñ''
maiñ kahtā huuñ maiñ suntā huuñ
magar vo gurez-pā lamha havā ke dosh par uḌtā chalā jaatā hai ye nau manzila building
mire mālik maiñ tanhā huuñ maiñ tanhā huuñ
mirī jānib baḌe be-rahm sannāToñ meñ lipTī shaam baḌhtī aa rahī hai maiñ girā jaatā huuñ
bolo! kyā maiñ lamhoñ kī ayāleñ apnī muTThī meñ jakaḌ luuñ?
kyā maiñ is nau manzila building ko apne nā-tavāñ shānoñ se nīche pheñk duuñ
uTh kar khaḌā ho jā.ūñ
magar maiñ ne....
magar maiñ ne to is nau manzila building kī ḳhātir nāḳhunoñ se niiv khodī thī
zamin ka raqs-e-paiham sard lohe ki nukili kil, zanjir-e-kashish, shane
aur ek nau manzila building
aur is nau manzila building ko apne na-tawan shanon ki baqi-manda quwwat se sambhaale
is fasurda shahr ki sab se baDi footpath par Tangen pasare
har guzarte wahime ko takne wala main
ye barfili hawa thi ya koi lamha
saba-raftar lamha barq-dam lamha
jo meri ungliyon ke darmiyan se KHwab ki manind guzra
kya murur-e-waqt jari hai?
mere laghar badan mein kaun naKHun gaDta hai?
kyun zamin yaKH-basta zamburon mein mere panw jakDe hai
main aaKHir kaun hun? main kaun hun? aur nam
mera nam kya hai? kya main zinda hun?
main zinda hun main zinda hun main apni chiKH sun sakta hun
ik pal ke liye Thahro bas ek pal ke liye Thahro
ki is nau manzila building se apne na-tawan shanon ko main aazad to kar lun
main kahta hun main sunta hun
magar wo gurez-pa lamha hawa ke dosh par uDta chala jata hai ye nau manzila building
mere malik main tanha hun main tanha hun
meri jaanib baDe be-rahm sannaTon mein lipTi sham baDhti aa rahi hai main gira jata hun
bolo! kya main lamhon ki ayalen apni muTThi mein jakaD lun?
kya main is nau manzila building ko apne na-tawan shanon se niche phenk dun
uTh kar khaDa ho jaun
magar main ne
magar main ne to is nau manzila building ki KHatir naKHunon se niw khodi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.