naya banjara-nama
Interesting Fact
This nazm is a parody of one of the most popular nazms "Banjara-nama" by Nazeer Akbarabadi.
us baap se naata toḌ liyā jis baap kā thā behad pyārā
tū maal haḌap kar baiThā hai rotā hai ḳhusur bhī bechārā
dastoñ meñ aag hī niklegī khā.egā agar tū añgārā
tū maal aur dhan ke chakkar meñ phirtā hai abas maarā maarā
sab ThaaT paḌā rah jā.egā jab laad chalegā bañjārā
kyā fā.eda rusvā hone se rusvā.ī kā āġhāz na kar
jis haal meñ tū hai achchhā hai ab ārzu-e-e.azāz na kar
ḳhvāboñ kī anokhī duniyā meñ tū had se sivā parvāz na kar
daulat se vafā nā-mumkin hai daulat pe ziyāda naaz na kar
sab ThaaT paḌā rah jā.egā jab laad chalegā bañjārā
shauhar kī tabāhī kī ḳhātir bas ek hī aurat kaafī hai
ye baat na sab par zāhir ho to sāhib daulat kaafī hai
das biis imārat kyā hoñgī bas ek imārat kaafī hai
anjām samajhne kī ḳhātir shaddād kī jannat kaafī hai
sab ThaaT paḌā rah jā.egā jab laad chalegā bañjārā
chhai kāreñ haiñ do caroñ ko ḳhairāt meñ de de achchhā hai
tū qaum ke ḳhidmat-gāroñ ko ḳhairāt meñ de de achchhā hai
jo kuchh hai vo ġham ke māroñ ko ḳhairāt meñ de de achchhā hai
tū apnī zamīñ nādāroñ ko ḳhairāt meñ de de achchhā hai
sab ThaaT paḌā rah jā.egā jab laad chalegā bañjārā
us bap se nata toD liya jis bap ka tha behad pyara
tu mal haDap kar baiTha hai rota hai KHusur bhi bechaara
daston mein aag hi niklegi khaega agar tu angara
tu mal aur dhan ke chakkar mein phirta hai abas mara mara
sab ThaT paDa rah jaega jab lad chalega banjara
kya faeda ruswa hone se ruswai ka aaghaz na kar
jis haal mein tu hai achchha hai ab aarzu-e-eazaz na kar
KHwabon ki anokhi duniya mein tu had se siwa parwaz na kar
daulat se wafa na-mumkin hai daulat pe ziyaada naz na kar
sab ThaT paDa rah jaega jab lad chalega banjara
shauhar ki tabahi ki KHatir bas ek hi aurat kafi hai
ye baat na sab par zahir ho to sahib daulat kafi hai
das bis imarat kya hongi bas ek imarat kafi hai
anjam samajhne ki KHatir shaddad ki jannat kafi hai
sab ThaT paDa rah jaega jab lad chalega banjara
chhai karen hain do caron ko KHairaat mein de de achchha hai
tu qaum ke KHidmat-garon ko KHairaat mein de de achchha hai
jo kuchh hai wo gham ke maron ko KHairaat mein de de achchha hai
tu apni zamin nadaron ko KHairaat mein de de achchha hai
sab ThaT paDa rah jaega jab lad chalega banjara
- Book : Hans Kar Guzaar De (Pg. 58)
- Publication : Sayyed Ejazuddin Shah Popular (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.