nazar par merī us but kī nazar yuuñ chhā.ī jaatī hai
ki jaise Tokarī par Tokarī auñdhā.ī jaatī hai
palaTtī hai mirī āh-e-rasā yuuñ un ke ghar jā kar
koī jaadū kī hāñDī jis tarah palTā.ī jaatī hai
asar Daalā yahāñ tak terī zulfoñ ne basārat par
ki ab to raat kyā din ko ratauñdī aa.ī jaatī hai
havādis jab kisī ko taak kar chāñTā lagāte haiñ
to haftoñ kyā mahīnoñ khopaḌī sahlā.ī jaatī hai
butoñ par maiñ agar maa.il huuñ vo hūroñ pe maa.il haiñ
janāb-e-shaiḳh meñ bhī ye himāqat paa.ī jaatī hai
nazar par meri us but ki nazar yun chhai jati hai
ki jaise Tokari par Tokari aundhai jati hai
palaTti hai meri aah-e-rasa yun un ke ghar ja kar
koi jadu ki hanDi jis tarah palTai jati hai
asar Dala yahan tak teri zulfon ne basarat par
ki ab to raat kya din ko rataundi aai jati hai
hawadis jab kisi ko tak kar chanTa lagate hain
to hafton kya mahinon khopaDi sahlai jati hai
buton par main agar mail hun wo huron pe mail hain
janab-e-shaiKH mein bhi ye himaqat pai jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.