nazm
ek sāhab uḌtī chiḌiyā ke ginā karte the par
ḳhat kā mazmūñ bhāñp lete the lifāfa dekh kar
un ko qalmī-dostī karne kā chaska paḌ gayā
hote hote ik baḌī bī se muqaddar laḌ gayā
nāma-e-mahbūb kī tahrīr thī sahmī huī
un ko andāz-e-nigārish se ġhalat-fahmī huī
dūsre maktūb meñ de Daalā shādī kā payām
ishq kī ik jast ne tai kar diyā qissa tamām
kar ke shādī ghar meñ le aa.e use zillat-ma.āb
aur bure armān se ulTā jo chehre kā naqāb
haa.e kah kar laḌkhaḌā.e, vaa.e kah kar gir paḌe
piiT kar chhātī na.ī begam se yuuñ kahne lage
āzim-e-mulk-e-adam tujh ko javāñ samjhā thā maiñ
terī jaulāñ-gāh zer-e-āsmāñ samjhā thā maiñ
haa.e qismat january māñgī to july milī
haal kā tālib huā maazī tamannā.ī milī
mujh ko nānī-jān-marhūma kī yaad aa jaa.e hai
maiñ tujhe dekhūñ bhalā kab mujh se dekhā jaa.e hai
jān-e-izrā.īl ab naḳhroñ kā tere ġham karūñ
yā maiñ tujh par sūra-e-yāsīn paḌh kar dam karūñ
khul ke bolī vo mohabbat kī piTārī haa.e haa.e
kaisī kaisī duḳhtarān-e-mādar-e-ayyām haiñ
qabr meñ haiñ paañv laTkā.e magar gulfām haiñ
kyā huā mujh par hai gar unnīs-sau-chaudah kī chhāp
tū use paimāna-e-imroz-o-fardā se na naap
ek sahab uDti chiDiya ke gina karte the par
KHat ka mazmun bhanp lete the lifafa dekh kar
un ko qalmi-dosti karne ka chaska paD gaya
hote hote ek baDi bi se muqaddar laD gaya
nama-e-mahbub ki tahrir thi sahmi hui
un ko andaz-e-nigarish se ghalat-fahmi hui
dusre maktub mein de Dala shadi ka payam
ishq ki ek jast ne tai kar diya qissa tamam
kar ke shadi ghar mein le aae use zillat-maab
aur bure arman se ulTa jo chehre ka naqab
hae kah kar laDkhaDae, wae kah kar gir paDe
piT kar chhati nai begam se yun kahne lage
aazim-e-mulk-e-adam tujh ko jawan samjha tha main
teri jaulan-gah zer-e-asman samjha tha main
hae qismat january mangi to july mili
haal ka talib hua mazi tamannai mili
mujh ko nani-jaan-marhuma ki yaad aa jae hai
main tujhe dekhun bhala kab mujh se dekha jae hai
jaan-e-izrail ab naKHron ka tere gham karun
ya main tujh par sura-e-yasin paDh kar dam karun
khul ke boli wo mohabbat ki piTari hae hae
kaisi kaisi duKHtaran-e-madar-e-ayyam hain
qabr mein hain panw laTkae magar gulfam hain
kya hua mujh par hai gar unnis-sau-chaudah ki chhap
tu use paimana-e-imroz-o-farda se na nap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.