pagal laDki
fāḳhera to pāgal thī
faishanoñ ke chakkar meñ
yuuñ fareb khā baiThī
rañg gorā karne kī
har davā mañgā baiThī
thī davā jo khāne kī
vo davā lagā baiThī
jo davā lagānī thī
us davā ko khā baiThī
aur is himāqat meñ
apnī jaañ gañvā baiThī
fāḳhera to pāgal thī
faKHera to pagal thi
faishanon ke chakkar mein
yun fareb kha baiThi
rang gora karne ki
har dawa manga baiThi
thi dawa jo khane ki
wo dawa laga baiThi
jo dawa lagani thi
us dawa ko kha baiThi
aur is himaqat mein
apni jaan ganwa baiThi
faKHera to pagal thi
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 29)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.