paDosi ki murghiyan
america aisā des hai yārān-e-tez-gām
jazbāt to bahut haiñ mohabbat barā-e-nām
sar par sunahre baal, badan dūdh, hoñT jaam
har lab pe i-love hai magar āshiqī harām
allāh hī jaane kaun sī chakkī kā khāte haiñ
sattar baras ke sin meñ bhī āñkheñ laḌāte haiñ
barsīñ badan pe TuuT ke jab bhūrī badliyāñ
īmāñ safed paḌ ga.e jab dekhīñ goriyāñ
haiñ shaiḳh ko pasand paḌosī kī murġhiyāñ
sar par kulāh naaf talak lambī dāḌhiyāñ
chehre to jhurriyoñ se bhare dil javān haiñ
din meñ haiñ shaiḳh raat meñ salmān-ḳhān haiñ
qudrat ke dast-e-nāz kā 'sāġhar' kamāl haiñ
jo ḳhvāb meñ na aa.e vo aisā ḳhayāl haiñ
nīche se le ke Top talak mālā-māl haiñ
chāñdī ke paañv dosto sone ke baal haiñ
jo rañg-rūp un meñ hai vo desī meñ nahīñ
jo pepsi meñ lutf hai vo lassī meñ nahīñ
maḳhmal pe jis ke paañv chileñ vo chale kahāñ
surḳhī-e-pāñ dikhā.ī de aise gale kahāñ
bādal zamīñ pe jhuk ga.e gesū Dhale kahāñ
ġhairoñ meñ husn-o-ishq ke ye silsile kahāñ
saudā mohabbatoñ kā bharā sar-phiroñ meñ hai
us ishq ko salām jo kachche ghaḌoñ meñ hai
america aisa des hai yaran-e-tez-gam
jazbaat to bahut hain mohabbat bara-e-nam
sar par sunahre baal, badan dudh, honT jam
har lab pe i-lowe hai magar aashiqi haram
allah hi jaane kaun si chakki ka khate hain
sattar baras ke sin mein bhi aankhen laDate hain
barsin badan pe TuT ke jab bhuri badliyan
iman safed paD gae jab dekhin goriyan
hain shaiKH ko pasand paDosi ki murghiyan
sar par kulah naf talak lambi daDhiyan
chehre to jhurriyon se bhare dil jawan hain
din mein hain shaiKH raat mein salman-KHan hain
qudrat ke dast-e-naz ka 'saghar' kamal hain
jo KHwab mein na aae wo aisa KHayal hain
niche se le ke Top talak mala-mal hain
chandi ke panw dosto sone ke baal hain
jo rang-rup un mein hai wo desi mein nahin
jo pepsi mein lutf hai wo lassi mein nahin
maKHmal pe jis ke panw chilen wo chale kahan
surKHi-e-pan dikhai de aise gale kahan
baadal zamin pe jhuk gae gesu Dhale kahan
ghairon mein husn-o-ishq ke ye silsile kahan
sauda mohabbaton ka bhara sar-phiron mein hai
us ishq ko salam jo kachche ghaDon mein hai
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 265)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.