pas-e-raushni
baḌh rahe haiñ har taraf azm o amal ke kārvāñ
murġh anDe de rahe haiñ aur azāneñ murġhiyāñ
maiñ kahūñ daur-e-taraqqī yā ise daur-e-ḳhizāñ
aadmī be-mol hai aur parts body ke girāñ
jo mukammal aadmī hai be-sar-o-sāmān hai
gar yuuñ hī har añg ke paise baḌheñge be-shumār
koī bhejā chor hogā koī ġhunda āñkh-mār
shāh-rāhoñ par lageñge ek din ye ishtihār
bhā.iyo! gurda-kaToñ se hoshiyār o hoshiyār
is taraqqī kī badaulat vo zamāne ā.eñge
chor Daaku āshiqoñ ke dil churāne ā.eñge
kūcha-e-mahbūb meñ ab dil na pheñke jā.eñge
TuuT jā.eñge agar TukḌe baTore jā.eñge
jab vigoñ kī factory meñ baal beche jā.eñge
sar-ghaTe mahbūb āshiq se na dekhe jā.eñge
bik rahe haiñ market meñ aune-paune dekhnā
ustuḳhān-e-ibn-e-ādam ke khilaune dekhnā
jab talak itnī taraqqī se jahāñ mahrūm thā
jo bhī luTiyā-chor thā vo sūratan māsūm thā
jeb-katrā tak hamāre ahd kā māsūm thā
aañkh itnī qīmtī hai kab use mālūm thā
aañkh bas meñ kaaT lī begam divānī ho ga.iiñ
yuuñ hī kyā achchhī thī sūrat us pe kaanī ho ga.iiñ
apne apne zāviye se dekhtī hai sab kī aañkh
chāhiye matlūb ko har haal meñ matlab kī aañkh
Dhab kā rasta kab dikhātī hai kasī beDhab kī aañkh
chehra-e-begam pe jaḌ dī maulvī-sāhab kī aañkh
aañkh mullā-jī kī lagvā dī mire phūTe karam
kuchh dinoñ se un ko mullānī nazar aate haiñ ham
ek din begam ye bolīñ apnī nazreñ moḌ ke
daañt sone ke lagāo saare ḳharche chhoḌ ke
arz kī begam se ham ne haath apne joḌ ke
lai ga.e Daaku ka.ī ke daañt jabḌā toḌ ke
paḌh ke kal aḳhbār meñ begam hayā se gaḌ gayā
ek netā-jī ke muñh meñ raat Daaka paḌ gayā
hañs ke bolīñ ham bhī rahte haiñ isī sansār meñ
ham ne to dekhā nahīñ biktā lahū bāzār meñ
arz kī maiñ nazm kar detā huuñ vo ash.ār meñ
is sadī ke baad jo chhāpeñge sab aḳhbār meñ
dekh liijo jānvar sar par biThā.e jā.eñge
aadmī kī khaal ke juute banā.e jā.eñge
ek botal ḳhuuñ kī qīmat al-hafīz-o-al-amāñ
lā.iye lafzeñ kahāñ se haal kiije kyā bayāñ
kah rahā hai ahl dil se aaj bhī kachchā makāñ
jab bikegā ḳhuun tab uTThegā chūlhe se dhuāñ
ye vasīla bhī kamāne kā miTā dete haiñ log
mandir o masjid ke āñgan meñ bahā dete haiñ log
baDh rahe hain har taraf azm o amal ke karwan
murgh anDe de rahe hain aur azanen murghiyan
main kahun daur-e-taraqqi ya ise daur-e-KHizan
aadmi be-mol hai aur parts body ke giran
jo mukammal aadmi hai be-sar-o-saman hai
gar yun hi har ang ke paise baDhenge be-shumar
koi bheja chor hoga koi ghunda aankh-mar
shah-rahon par lagenge ek din ye ishtihaar
bhaiyo! gurda-kaTon se hoshiyar o hoshiyar
is taraqqi ki badaulat wo zamane aaenge
chor Daku aashiqon ke dil churane aaenge
kucha-e-mahbub mein ab dil na phenke jaenge
TuT jaenge agar TukDe baTore jaenge
jab wigon ki factory mein baal beche jaenge
sar-ghaTe mahbub aashiq se na dekhe jaenge
bik rahe hain market mein aune-paune dekhna
ustuKHan-e-ibn-e-adam ke khilaune dekhna
jab talak itni taraqqi se jahan mahrum tha
jo bhi luTiya-chor tha wo suratan masum tha
jeb-katra tak hamare ahd ka masum tha
aankh itni qimti hai kab use malum tha
aankh bas mein kaT li begam diwani ho gain
yun hi kya achchhi thi surat us pe kani ho gain
apne apne zawiye se dekhti hai sab ki aankh
chahiye matlub ko har haal mein matlab ki aankh
Dhab ka rasta kab dikhati hai kasi beDhab ki aankh
chehra-e-begam pe jaD di maulwi-sahab ki aankh
aankh mulla-ji ki lagwa di mere phuTe karam
kuchh dinon se un ko mullani nazar aate hain hum
ek din begam ye bolin apni nazren moD ke
dant sone ke lagao sare KHarche chhoD ke
arz ki begam se hum ne hath apne joD ke
lai gae Daku kai ke dant jabDa toD ke
paDh ke kal aKHbar mein begam haya se gaD gaya
ek neta-ji ke munh mein raat Daka paD gaya
hans ke bolin hum bhi rahte hain isi sansar mein
hum ne to dekha nahin bikta lahu bazar mein
arz ki main nazm kar deta hun wo ashaar mein
is sadi ke baad jo chhapenge sab aKHbar mein
dekh lijo jaanwar sar par biThae jaenge
aadmi ki khaal ke jute banae jaenge
ek botal KHun ki qimat al-hafiz-o-al-aman
laiye lafzen kahan se haal kije kya bayan
kah raha hai ahl dil se aaj bhi kachcha makan
jab bikega KHun tab uTThega chulhe se dhuan
ye wasila bhi kamane ka miTa dete hain log
mandir o masjid ke aangan mein baha dete hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.