pension-yafta
na ab maiñ pyaar kar saktā huuñ aur na DaañT saktā huuñ
jo baaqī rah ga.e haiñ din unheñ bas kaaT saktā huuñ
jo mil jaa.e usī par iktifā karnā hī paḌtā hai
koī shai apnī marzī se na ab meñ chhāñT saktā huuñ
huā huuñ jab se pension-yāfta ye haal hai yaaro
na koī qarz detā hai na pension baañT saktā huuñ
yahī kyā kam hai ḳhud-muḳhtār huuñ maiñ jab bhī jī chāhe
tamannāoñ ke par uḌne se pahle kaaT saktā huuñ
maiñ apne vaqt ke hāthoñ meñ huuñ jaise chhaTī uñglī
na isti.māl kar saktā huuñ aur na kaaT saktā huuñ
ġhamoñ kī ḳhair TeḌhī hī nahīñ gāḌhī bhī hotī hai
na pī jaatī hai ye aur na use maiñ chaaT saktā huuñ
uḌā kar dekh le koī patañgeñ apnī sheḳhī kī
bulandī par agar huuñ bhī to kanne kaaT saktā huuñ
yahī taufīq kyā kam hai ki raunaq ko hañsā kar maiñ
dukhoñ kā bojh kam karne ġhamoñ ko baañT saktā huuñ
ḳhalīj-e-buġhz-o-nafrat gar diloñ meñ ho ga.ī paidā
use maiñ 'ḳhvāh-maḳhvāh' hañste-hañsāte paaT saktā huuñ
na ab main pyar kar sakta hun aur na DanT sakta hun
jo baqi rah gae hain din unhen bas kaT sakta hun
jo mil jae usi par iktifa karna hi paDta hai
koi shai apni marzi se na ab mein chhanT sakta hun
hua hun jab se pension-yafta ye haal hai yaro
na koi qarz deta hai na pension banT sakta hun
yahi kya kam hai KHud-muKHtar hun main jab bhi ji chahe
tamannaon ke par uDne se pahle kaT sakta hun
main apne waqt ke hathon mein hun jaise chhaTi ungli
na istimal kar sakta hun aur na kaT sakta hun
ghamon ki KHair TeDhi hi nahin gaDhi bhi hoti hai
na pi jati hai ye aur na use main chaT sakta hun
uDa kar dekh le koi patangen apni sheKHi ki
bulandi par agar hun bhi to kanne kaT sakta hun
yahi taufiq kya kam hai ki raunaq ko hansa kar main
dukhon ka bojh kam karne ghamon ko banT sakta hun
KHalij-e-bughz-o-nafrat gar dilon mein ho gai paida
use main 'KHwah-maKHwah' hanste-hansate paT sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.