pir aur murid
khaT-khaT-khaT
dar pe khaḌā hai kab se aap kā dīvāna
jannat kā darvāza kholiye maulānā
chāñd hai aadhī raat hasīñ hai
dekhne vaalā koī nahīñ hai
laayā hai ik 'chīz' murīd-e-mastāna
jannat kā darvāza kholiye maulānā
shaitānī ke daav chalā ke
laayā huuñ ik huur bhagā ke
rakh liije āġhosh meñ merā nazrāna
jannat kā darvāza kholiye maulānā
tauba kitnī der lagā.ī
haañ haañ maiñ shaitāñ huuñ bhaa.ī
aap kī sham.a-e-ruḳh kā purānā parvāna
jannat kā darvāza kholiye maulānā
chal dūñgā maiñ pair dabā ke
aap ko mīThī niiñd sulā ke
chhalak na jaa.e mere sabr kā paimāna
jannat kā darvāza kholiye maulānā
khaT-khaT-khaT
dar pe khaDa hai kab se aap ka diwana
jannat ka darwaza kholiye maulana
chand hai aadhi raat hasin hai
dekhne wala koi nahin hai
laya hai ek 'chiz' murid-e-mastana
jannat ka darwaza kholiye maulana
shaitani ke daw chala ke
laya hun ek hur bhaga ke
rakh lije aaghosh mein mera nazrana
jannat ka darwaza kholiye maulana
tauba kitni der lagai
han han main shaitan hun bhai
aap ki shama-e-ruKH ka purana parwana
jannat ka darwaza kholiye maulana
chal dunga main pair daba ke
aap ko miThi nind sula ke
chhalak na jae mere sabr ka paimana
jannat ka darwaza kholiye maulana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.