pin khula tie khuli baklas khula collar khula
pin khulā tie khulī baklas khulā collar khulā
khulte khulte DheḌh ghanTe meñ kahīñ afsar khulā
aaTh das kī aañkh phūTī aaTh das kā sar khulā
lo ḳhatīb-e-shahr kī taqrīr kā jauhar khulā
sach hai mashriq aur maġhrib ek ho sakte nahīñ
us taraf biivī khulī hai is taraf shauhar khulā
tīrgī qismat meñ aatī hai to jaatī hī nahīñ
mere ghar ke bil-muqābil ko.elā-centre khulā
un kā darvāza thā mujh se bhī savā mushtāq-e-dīd
maiñ ne bāhar kholnā chāhā to vo andar khulā
aadmī ehsās-e-mansab ke mutābiq qaid hai
dekh lo deputy-commissioner band hai reader khulā
pin khula tie khuli baklas khula collar khula
khulte khulte DheDh ghanTe mein kahin afsar khula
aaTh das ki aankh phuTi aaTh das ka sar khula
lo KHatib-e-shahr ki taqrir ka jauhar khula
sach hai mashriq aur maghrib ek ho sakte nahin
us taraf biwi khuli hai is taraf shauhar khula
tirgi qismat mein aati hai to jati hi nahin
mere ghar ke bil-muqabil koela-centre khula
un ka darwaza tha mujh se bhi sawa mushtaq-e-did
main ne bahar kholna chaha to wo andar khula
aadmi ehsas-e-mansab ke mutabiq qaid hai
dekh lo deputy-commissioner band hai reader khula
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 77)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.