professor hi jab aate hon hafta-war college mein
professor hī jab aate hoñ hafta-vār college meñ
to ūñchā kyuuñ na ho ta.alīm kā me.aar college meñ
kuchh aise bhī paḌhākū panchhiyoñ ko ham ne dekhā hai
ki par daftar meñ panje shahr meñ minqār college meñ
agarche dūsre mashrūb bhī mahñge nahīñ milte
magar chaltā hai akasr sharbat-e-dīdār college meñ
vo degrē kī bajā.e mam le kar lauT aayā hai
milā thā dāḳhila jis ko samundar-pār college meñ
mujhe Dar hai ki ham donoñ kahīñ samdhī na ban jaa.eñ
tirī gulnār college meñ mirā gulzār college meñ
professor hi jab aate hon hafta-war college mein
to uncha kyun na ho talim ka mear college mein
kuchh aise bhi paDhaku panchhiyon ko hum ne dekha hai
ki par daftar mein panje shahr mein minqar college mein
agarche dusre mashrub bhi mahnge nahin milte
magar chalta hai akasr sharbat-e-didar college mein
wo degree ki bajae mam le kar lauT aaya hai
mila tha daKHila jis ko samundar-par college mein
mujhe Dar hai ki hum donon kahin samdhi na ban jaen
teri gulnar college mein mera gulzar college mein
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 108)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.