qasr-e-viran
Duubā shafaq kī jhiil meñ ḳhurshīd-e-ḳhāvarī
añgḌā.ī le ke ġharb se laila-e-shab uThī
mahke hue chaman kī havā.eñ udaas haiñ
kyā kho chukī haiñ aaj fazā.eñ udaas haiñ
khiḌkī meñ āsmān kī hairāñ hai chāñd bhī
shāyad mirī tarah se pareshāñ hai chāñd bhī
soī huī bahār ke chehre pe yaas hai
ġhamgīn dil kī tarah gulistāñ udaas hai
aatī nahīñ hai duur se koyal kī ab sadā
gaatī nahīñ hai giit masarrat ke ab havā
ye ghar aur is ke gird jo shai hai udaas hai
jo murdanī hai dil meñ vahī aas paas hai
har saal aa ke dekhtā huuñ tere ghar ko maiñ
ab tak aziiz huuñ tire dīvār-o-dar ko maiñ
suntā huuñ ab bhī yaañ tire qadmoñ kī maiñ sadā
aa aa ke DhūñDhtī hai tujhe yaañ mirī nigah
jis ghar par hukmarāñ tire jalvaoñ kī thī bahār
vo ghar banā hai merī mohabbat kā ab mazār
Duba shafaq ki jhil mein KHurshid-e-KHawari
angDai le ke gharb se laila-e-shab uThi
mahke hue chaman ki hawaen udas hain
kya kho chuki hain aaj fazaen udas hain
khiDki mein aasman ki hairan hai chand bhi
shayad meri tarah se pareshan hai chand bhi
soi hui bahaar ke chehre pe yas hai
ghamgin dil ki tarah gulistan udas hai
aati nahin hai dur se koyal ki ab sada
gati nahin hai git masarrat ke ab hawa
ye ghar aur is ke gird jo shai hai udas hai
jo murdani hai dil mein wahi aas pas hai
har sal aa ke dekhta hun tere ghar ko main
ab tak aziz hun tere diwar-o-dar ko main
sunta hun ab bhi yan tere qadmon ki main sada
aa aa ke DhunDhti hai tujhe yan meri nigah
jis ghar par hukmaran tere jalwaon ki thi bahaar
wo ghar bana hai meri mohabbat ka ab mazar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.