qimti kitab
ek din biivī ne farmāyā tumhārī har kitāb
fāltū sāmān hai kuuḌā hai raddī hai janāb
āj-kal mahñgā.ī se maiñ kis qadar bad-hāl huuñ
tum ijāzat do agar raddī meñ in ko biich duuñ
dafn in meñ ilm-o-fan ke haiñ hazāroñ māhtāb
maiñ ne biivī se kahā nāyāb hai har ik kitāb
dekh ye dīvān-e-ġhālib aap hai apnī misāl
is kā ik ik sher hai urdu adab meñ lā-zavāl
dekh 'hālī' kī musaddas kā nahīñ koī javāb
ye bhī hai urdu adab meñ ek bā-maqsad kitāb
aur ye bāñg-e-darā 'iqbāl' kī pahchān hai
kyā ḳhabar tujh ko ye urdu shā.irī kī shaan hai
inqilābī ishqīya nazmoñ kī kulliyāt hai
'josh' kī urdu adab ko qīmtī sauġhāt hai
aur ye hai 'talḳhiyāñ' 'sāhir' kā lā-fānī kalām
us se hī zinda rahegā hashr tak 'sāhir' kā naam
ye ikaa.ī aur aamad haiñ kitābeñ 'badr' kī
nāqidoñ ne in kitāboñ se hī un kī qadr kī
aag kā dariyā hai ye ye 'gardish-e-rañg-e-chaman'
in kutub se hai ayaañ urdu adab kā bāñkpan
umr bhar kī hai kamā.ī besh-o-kam 'shahbāz' kī
dekh ye haiñ chhe kitābeñ mohtaram 'shahbāz' kī
dekh ye 'fārūq' bhaa.ī kī kitābeñ be-shumār
nasr bhī hai mustanad aur nazm bhī hai bā-vaqār
dekh tālib kī kitābeñ pahlā patthar silsila
lafz-e-sāda meñ chhupā hai zindagī kā falsafa
ek din biwi ne farmaya tumhaari har kitab
faltu saman hai kuDa hai raddi hai janab
aaj-kal mahngai se main kis qadar bad-haal hun
tum ijazat do agar raddi mein in ko bich dun
dafn in mein ilm-o-fan ke hain hazaron mahtab
main ne biwi se kaha nayab hai har ek kitab
dekh ye diwan-e-ghaalib aap hai apni misal
is ka ek ek sher hai urdu adab mein la-zawal
dekh 'haali' ki musaddas ka nahin koi jawab
ye bhi hai urdu adab mein ek ba-maqsad kitab
aur ye bang-e-dara 'iqbaal' ki pahchan hai
kya KHabar tujh ko ye urdu shairi ki shan hai
inqilabi ishqiya nazmon ki kulliyat hai
'josh' ki urdu adab ko qimti saughat hai
aur ye hai 'talKHiyan' 'sahir' ka la-fani kalam
us se hi zinda rahega hashr tak 'sahir' ka nam
ye ikai aur aamad hain kitaben 'badr' ki
naqidon ne in kitabon se hi un ki qadr ki
aag ka dariya hai ye ye 'gardish-e-rang-e-chaman'
in kutub se hai ayan urdu adab ka bankpan
umr bhar ki hai kamai besh-o-kam 'shahbaz' ki
dekh ye hain chhe kitaben mohtaram 'shahbaz' ki
dekh ye 'faruq' bhai ki kitaben be-shumar
nasr bhi hai mustanad aur nazm bhi hai ba-waqar
dekh talib ki kitaben pahla patthar silsila
lafz-e-sada mein chhupa hai zindagi ka falsafa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.